irfan-gazidgi
maiñ ne apne andar andar
jitnā jo kuchh bun rakkhā thā
maiñ ne apne aap se apne baare meñ
jo kuchh bhī sun rakkhā thā
maiñ ne apne aap ko jitnā jaisā farz kiyā thā
maiñ us se bhī aur sivā thī
miTTī thī maiñ
maiñ paanī thī
aag bhī thī jitnī maiñ havā thī
lekin apnī sab jihatoñ se
muta.ārif ho jaanā ḳhud ko kitnā mahñgā paḌ saktā hai
dekh rahī huuñ
muuñd ke āñkheñ sakhī
ki irfāñ-gazīda aañkh ne dekhā hai
ik abadī abadī ḳhasāra
main ne apne andar andar
jitna jo kuchh bun rakkha tha
main ne apne aap se apne bare mein
jo kuchh bhi sun rakkha tha
main ne apne aap ko jitna jaisa farz kiya tha
main us se bhi aur siwa thi
miTTi thi main
main pani thi
aag bhi thi jitni main hawa thi
lekin apni sab jihaton se
mutaarif ho jaana KHud ko kitna mahnga paD sakta hai
dekh rahi hun
mund ke aankhen sakhi
ki irfan-gazida aankh ne dekha hai
ek abadi abadi KHasara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.