irfan
hazāroñ baras se
ḳhudā aur mire darmiyāñ
haft-rang āsmānoñ kī dīvār thī
aur mere gunah fāsla ban ga.e the
use maiñ ne jab bhī pukārā
kapkapātī huī merī āvāz
samundar meñ
kuchh duur tak dā.ere se banā kar
na jaane kahāñ kho ga.ī
aaj
ashk-e-nadāmat ne
dil kī siyāhī miTā dī
maiñ hairān huuñ
maiñ hairān huuñ
ab ḳhudā aur mire darmiyāñ
fāsla hai na dīvār hai
hazaron baras se
KHuda aur mere darmiyan
haft-rang aasmanon ki diwar thi
aur mere gunah fasla ban gae the
use main ne jab bhi pukara
kapkapati hui meri aawaz
samundar mein
kuchh dur tak daere se bana kar
na jaane kahan kho gai
aaj
ashk-e-nadamat ne
dil ki siyahi miTa di
main hairan hun
main hairan hun
ab KHuda aur mere darmiyan
fasla hai na diwar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.