irfan
in ko sajda karo
ye haiñ ḳhāqān-e-vaqt
in ke qadmoñ pe jhukte haiñ shāhoñ ke sar
in ke dar par rahā karte haiñ hājibān-e-kirām
in kī ḳhalvat kī zīnat kanīzān-e-sīmīñ-badan
in ko sajda karo
naam kā in ke kalima paḌho
pīr-o-murshid haiñ ye
ye haiñ mushkil-kushā
shāh-o-darvesh sab in ke haiñ zalla-ḳhvār
in ke lab par hai qur.ān dil meñ ḳhudā
in ke paañv pe ḳham hai sar-e-ittiqā
hūr-o-ġhilmāñ haiñ in ke ġhulām
in ko sajda karo
naam kā in ke kalima paḌho
ye siyāsat ke ik mard-e-maidān haiñ
ḳhāk-e-pā in kī hai surma-e-chashm-e-ahl-e-ḳhirad
qibla-e-ahl-e-hājat haiñ ye
in se qaa.em bharam qaum kā
sarzamīñ mulk kī in se hai rashk-e-arsh-e-barīñ
Thokaroñ meñ haiñ in kī vazīr-o-amīr
in ko sajda karo
naam kā in ke kalima paḌho
nafs-e-sarkash mirā
roz suntā rahā
sar bhī dhuntā rahā
ḳham na lekin huā
merā sar
dar pe ḳhāqān ke
murshid-e-vaqt ke paañv par
qibla-e-ahl-e-hājat kī chaukhaT pe bhī
aur phir yuuñ huā
merā sar
ho gayā
apne aage hī ḳham
in ko sajda karo
ye hain KHaqan-e-waqt
in ke qadmon pe jhukte hain shahon ke sar
in ke dar par raha karte hain hajiban-e-kiram
in ki KHalwat ki zinat kanizan-e-simin-badan
in ko sajda karo
nam ka in ke kalima paDho
pir-o-murshid hain ye
ye hain mushkil-kusha
shah-o-darwesh sab in ke hain zalla-KHwar
in ke lab par hai quran dil mein KHuda
in ke panw pe KHam hai sar-e-ittiqa
hur-o-ghilman hain in ke ghulam
in ko sajda karo
nam ka in ke kalima paDho
ye siyasat ke ek mard-e-maidan hain
KHak-e-pa in ki hai surma-e-chashm-e-ahl-e-KHirad
qibla-e-ahl-e-hajat hain ye
in se qaem bharam qaum ka
sarzamin mulk ki in se hai rashk-e-arsh-e-barin
Thokaron mein hain in ki wazir-o-amir
in ko sajda karo
nam ka in ke kalima paDho
nafs-e-sarkash mera
roz sunta raha
sar bhi dhunta raha
KHam na lekin hua
mera sar
dar pe KHaqan ke
murshid-e-waqt ke panw par
qibla-e-ahl-e-hajat ki chaukhaT pe bhi
aur phir yun hua
mera sar
ho gaya
apne aage hi KHam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.