irfan KHan ke liye
tum
ham donoñ kī mushtarka mohabbat the
lekin bichhaḌne ke liye
tum ne aise mausam kā intiḳhāb kiyā
jab tanhā.ī
jismoñ meñ
ġhaar banā.e baiThī thī
āsmān parindoñ se ḳhālī thā
aur aañsū tak ḳhushk ho chuke the
is bad-numā sub.h kā
zā.iqa abhī tak
mere taalū se chimTā hai
jab tumhārī maut kī ḳhabar ne
dil ko aisī udāsī se bhar diyā thā
jise jhelne ke liye
ek vajūd thoḌā paḌ jaatā hai
tab maiñ ne pahlī baar
use gale lagāne kā sochā thā
jo ab kahīñ bhī nahīñ hai
shāyad
mushtarka mohabbateñ bhī
kuchh logoñ ko rokne ke liye
kaafī nahīñ hotīñ
tum
hum donon ki mushtarka mohabbat the
lekin bichhaDne ke liye
tum ne aise mausam ka intiKHab kiya
jab tanhai
jismon mein
ghaar banae baiThi thi
aasman parindon se KHali tha
aur aansu tak KHushk ho chuke the
is bad-numa subh ka
zaiqa abhi tak
mere talu se chimTa hai
jab tumhaari maut ki KHabar ne
dil ko aisi udasi se bhar diya tha
jise jhelne ke liye
ek wajud thoDa paD jata hai
tab main ne pahli bar
use gale lagane ka socha tha
jo ab kahin bhi nahin hai
shayad
mushtarka mohabbaten bhi
kuchh logon ko rokne ke liye
kafi nahin hotin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.