irfan
kitābeñ samundar kī tah meñ Dubo do
kitāboñ meñ kyā hai
vahī rāz-e-pinhāñ
jise aql-e-insāñ ne sadiyoñ TaTolā
falātūñ ne jāñchā
arastū ne parkhā
vahī rāz-e-pinhāñ
hamārī jabīnoñ pe likhā huā hai
ise tum bhī paḌh lo
ise maiñ bhī paḌh luuñ
magar shart ye hai ki āñkheñ khulī hoñ
kitaben samundar ki tah mein Dubo do
kitabon mein kya hai
wahi raaz-e-pinhan
jise aql-e-insan ne sadiyon TaTola
falatun ne jaancha
arastu ne parkha
wahi raaz-e-pinhan
hamari jabinon pe likha hua hai
ise tum bhi paDh lo
ise main bhi paDh lun
magar shart ye hai ki aankhen khuli hon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.