irfan
mere baap ne marte dam bhī
mujh se bas ye baat kahī thī
gardan bhī uḌ jaa.e merī
sach bolūñ maiñ jhuuT na bolūñ
us din se maiñ aaj ke din tak
pag pag jhuuT se Takkar letā
sach ko reza reza kartā
apne dil ko in rezoñ se chhalnī kartā
ḳhuun meñ lat-pat ghuum rahā huuñ
aur mirā dāman hai ḳhālī
lekin ab maiñ thak sā gayā huuñ
bargad kī chhāyā meñ baiThā kitnī der se soch rahā huuñ
kyuuñ na jhuuT se haath milā luuñ
aur chupke se qabr pe apne baap kī jā kar itnā kah duuñ
tum jhūTe the
mere bap ne marte dam bhi
mujh se bas ye baat kahi thi
gardan bhi uD jae meri
sach bolun main jhuT na bolun
us din se main aaj ke din tak
pag pag jhuT se Takkar leta
sach ko reza reza karta
apne dil ko in rezon se chhalni karta
KHun mein lat-pat ghum raha hun
aur mera daman hai KHali
lekin ab main thak sa gaya hun
bargad ki chhaya mein baiTha kitni der se soch raha hun
kyun na jhuT se hath mila lun
aur chupke se qabr pe apne bap ki ja kar itna kah dun
tum jhuTe the
- Book : shab-khoon(shumara-number-021) (Pg. 6)
- Edition : 1968
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.