irtiqa
āgahī
chand samjhautoñ kā
lā-mutnāhī silsila hai
jo mujhe mere shu.ūr ke
in.aam meñ diyā jā rahā hai
zindagī!!
sirf ek tavīl hijr kā zā.iqa hai
jo mujhe ishq ke
ilzām meñ diyā jā rahā hai
shā.erī
jazboñ ko lafz se gāñTh kar
maar dene kā hausla hai
jo mujhe bandagī ke naam par diyā jā rahā hai
aagahi
chand samjhauton ka
la-mutnahi silsila hai
jo mujhe mere shuur ke
inam mein diya ja raha hai
zindagi!!
sirf ek tawil hijr ka zaiqa hai
jo mujhe ishq ke
ilzam mein diya ja raha hai
shaeri
jazbon ko lafz se ganTh kar
mar dene ka hausla hai
jo mujhe bandagi ke nam par diya ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.