irtiqa
ḳhaak par ik buuñd lapkī
buuñd jam kar lothḌā
is lothḌe meñ haDDiyāñ
phir haDDiyoñ par maas aayā
maas jis par naqsh ubhre
naqsh ko jumbish milī
aur ḳhāmushī kī kokh ḳhālī ho ga.ī
chīḳh pahlī guftugū thī
tham ga.ī to is se phūTā qahqaha
jab thak ke TuuTā qahqaha
tab āḳhirī āvāz siskī
jumbisheñ sākit huiiñ
aur qabr kī ḳhāmoshiyoñ meñ
naqsh pighle maas utrā
haDDiyāñ uryāñ huiiñ aur munhadim
lothḌā gal saḌ ke phir se buuñd thā
aur buuñd dhartī khā ga.ī
haa.e mere ibtilā kī intihā ibtidā tak aa ga.ī
KHak par ek bund lapki
bund jam kar lothDa
is lothDe mein haDDiyan
phir haDDiyon par mas aaya
mas jis par naqsh ubhre
naqsh ko jumbish mili
aur KHamushi ki kokh KHali ho gai
chiKH pahli guftugu thi
tham gai to is se phuTa qahqaha
jab thak ke TuTa qahqaha
tab aaKHiri aawaz siski
jumbishen sakit huin
aur qabr ki KHamoshiyon mein
naqsh pighle mas utra
haDDiyan uryan huin aur munhadim
lothDa gal saD ke phir se bund tha
aur bund dharti kha gai
hae mere ibtila ki intiha ibtida tak aa gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.