irtiqa
ye kā.enāt yakāyak vo ḳhalq kar detā
to chhe dinoñ meñ ise us ne phir banāyā kyoñ
use ḳhabar thī ki aadam kī kyā jibillat hai
to phir bahisht meñ aadam ko āzmāyā kyoñ
payām us kā koī ik nabī bhī de detā
phir us ne lākhoñ rasūloñ se kahlvāyā kyoñ
vo ek shab meñ bhī qur.āñ utaar saktā thā
vah.y kā silsila barsoñ talak chalāyā kyoñ
vo tifl ek ishāre se ḳhalq kar detā
to maañ ke peT meñ nau maah tak chhupāyā kyoñ
vo ek lamhe meñ har sub.h ko janam detā
to dhīre dhīre se sūraj ko phir jagāyā kyoñ
har ek fasl vo jhaT-paT javān kar detā
anaaj dhuup meñ 'arse talak pakāyā kyoñ
vo paidā karte hī 'vāsif' mujhe navā detā
yuuñ biis saal meñ shā'ir mujhe banāyā kyoñ
ye saarā dahr agar irtiqā kā qaa.il hai
to is liye ki ḳhudā irtiqā pe maa.il hai
ye kaenat yakayak wo KHalq kar deta
to chhe dinon mein ise us ne phir banaya kyon
use KHabar thi ki aadam ki kya jibillat hai
to phir bahisht mein aadam ko aazmaya kyon
payam us ka koi ek nabi bhi de deta
phir us ne lakhon rasulon se kahlwaya kyon
wo ek shab mein bhi quran utar sakta tha
wahy ka silsila barson talak chalaya kyon
wo tifl ek ishaare se KHalq kar deta
to man ke peT mein nau mah tak chhupaya kyon
wo ek lamhe mein har subh ko janam deta
to dhire dhire se suraj ko phir jagaya kyon
har ek fasl wo jhaT-paT jawan kar deta
anaj dhup mein 'arse talak pakaya kyon
wo paida karte hi 'wasif' mujhe nawa deta
yun bis sal mein sha'ir mujhe banaya kyon
ye sara dahr agar irtiqa ka qail hai
to is liye ki KHuda irtiqa pe mail hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.