is ahd ka insan
ham vo insān haiñ
jin kī dahshat se sahme hue haiñ darinde talak
ham vo insān haiñ
dam-ba-ḳhud jin ke shar se hai shaitān bhī
ham vo insān haiñ
apne hī ḳhuun meñ haath jin ke haiñ lithḌe hue
ham vo insān haiñ
duudh piite bilakte hue tifl se bhī jinheñ ḳhauf hai
ham vo insān haiñ
apnī vahshat meñ jo
masjidoñ mandiroñ dars-gāhoñ kalīsāoñ tak ko nahīñ baḳhshte
ham vo insān haiñ
jo faqat rang aur nasl ke farq par
maslak-o-dīn ke naam par
ḳhuuñ bahāte haiñ nāhaq baḌe faḳhr se
aisī pastī kī daldal meñ ham dhañs chuke
jis se bāhar nikalne kī koī bhī sūrat nahīñ
haañ magar ek rassī to hai
saare mil kar use ham agar thaam leñ
ḳhauf vahshat adāvat kī daldal se bāhar nikal ā.eñge
ahd-e-hāzir ke insāñ ke dāmān par
jitne bhī daaġh haiñ
saare dhul jā.eñge
hum wo insan hain
jin ki dahshat se sahme hue hain darinde talak
hum wo insan hain
dam-ba-KHud jin ke shar se hai shaitan bhi
hum wo insan hain
apne hi KHun mein hath jin ke hain lithDe hue
hum wo insan hain
dudh pite bilakte hue tifl se bhi jinhen KHauf hai
hum wo insan hain
apni wahshat mein jo
masjidon mandiron dars-gahon kalisaon tak ko nahin baKHshte
hum wo insan hain
jo faqat rang aur nasl ke farq par
maslak-o-din ke nam par
KHun bahate hain nahaq baDe faKHr se
aisi pasti ki daldal mein hum dhans chuke
jis se bahar nikalne ki koi bhi surat nahin
han magar ek rassi to hai
sare mil kar use hum agar tham len
KHauf wahshat adawat ki daldal se bahar nikal aaenge
ahd-e-hazir ke insan ke daman par
jitne bhi dagh hain
sare dhul jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.