is bar
ye ḳhvāhish hai
is baar
bādal jo aa.eñ
to sar par hamāre
raheñ kuchh dinoñ
ye kaale se
bhūre se bādal
phir un kā ho kuchh is tarah se milan
baḌe zor kī ghan garaj ho
bahut duur tak
bijliyāñ kauñd jaa.eñ
jhamā-jham ho bārish
zamīñ jo ki
arse se taptī rahī hai
vo sairāb ho jaa.e
kuchh is tarah se
ki us par ridā ik harī phail jaa.e
havā gungunā.e
fazā muskurā.e
shajar saare jhūmeñ
parinde bahut duur tak
chahchahāte uḌeñ
udhar chand barsoñ se
aise manāzir ko
āñkheñ
taras sī ga.ī haiñ
ye KHwahish hai
is bar
baadal jo aaen
to sar par hamare
rahen kuchh dinon
ye kale se
bhure se baadal
phir un ka ho kuchh is tarah se milan
baDe zor ki ghan garaj ho
bahut dur tak
bijliyan kaund jaen
jhama-jham ho barish
zamin jo ki
arse se tapti rahi hai
wo sairab ho jae
kuchh is tarah se
ki us par rida ek hari phail jae
hawa gungunae
faza muskurae
shajar sare jhumen
parinde bahut dur tak
chahchahate uDen
udhar chand barson se
aise manazir ko
aankhen
taras si gai hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.