is baat ka dekho dhyan rahe
tum aksar kahte rahte ho
phūloñ kā kyā hai
kuchh der meñ murjhā jaate haiñ
aur ye rāteñ chāñdī sī
do din kī kahānī hai un kī
lamhoñ meñ bikhar kar rah jaatī hai
motī kī tarah shabnam kī laḌī
maiñ aksar sochā kartī huuñ
kyā mausam-e-gul hī sab kuchh hai
aur ḳhvāb-e-bahārāñ kuchh bhī nahīñ
billor se tarshī mūrat se alag
kyā aks-e-nigārāñ kuchh bhī nahīñ
muTThī meñ jo aa jaa.e daulat hai
aur shauq tirā vaañ kuchh bhī nahīñ
mahtāb kī rañgat dekhī hai
tāroñ kī sajāvaT dekhī hai
aur qaus-e-quzah kī rañgīnī
ambar kī jabīñ par dekhī hai
nazroñ kā faqat dhokā hī sahī
lekin achchhā lagtā hai
tum apne ḳhayāloñ ke bādal se
anvār-e-sahar ko bātil Thahrāo
andeshoñ ke taane baane se
ḳhushbū ko shikanjoñ meñ kas do
tāroñ kī qabā-e-zar dhuñdlā do
mahtāb kī khetī pāmāl karo
kis tarah basar hoñ shām-o-sahar
tārīk hai shab mushkil hai safar
manzil kī nahīñ raahī ko ḳhabar
man merā vīrān sahī barbād sahī
hai is se jhilmil rāhguzar
ḳhushbū ke Dagar chāñdī ke nagar
gītoñ ke shajar tāroñ ke samar
palkoñ pe charāġhāñ kā manzar
tum aah bharo bhī to dhīre se
aisā na ho sab kuchh bujh jaa.e
is baat kā dekho dhyān rahe
tum aksar kahte rahte ho
phulon ka kya hai
kuchh der mein murjha jate hain
aur ye raaten chandi si
do din ki kahani hai un ki
lamhon mein bikhar kar rah jati hai
moti ki tarah shabnam ki laDi
main aksar socha karti hun
kya mausam-e-gul hi sab kuchh hai
aur KHwab-e-bahaaran kuchh bhi nahin
billor se tarshi murat se alag
kya aks-e-nigaran kuchh bhi nahin
muTThi mein jo aa jae daulat hai
aur shauq tera wan kuchh bhi nahin
mahtab ki rangat dekhi hai
taron ki sajawaT dekhi hai
aur qaus-e-quzah ki rangini
ambar ki jabin par dekhi hai
nazron ka faqat dhoka hi sahi
lekin achchha lagta hai
tum apne KHayalon ke baadal se
anwar-e-sahar ko baatil Thahrao
andeshon ke tane bane se
KHushbu ko shikanjon mein kas do
taron ki qaba-e-zar dhundla do
mahtab ki kheti pamal karo
kis tarah basar hon sham-o-sahar
tarik hai shab mushkil hai safar
manzil ki nahin rahi ko KHabar
man mera viran sahi barbaad sahi
hai is se jhilmil rahguzar
KHushbu ke Dagar chandi ke nagar
giton ke shajar taron ke samar
palkon pe charaghan ka manzar
tum aah bharo bhi to dhire se
aisa na ho sab kuchh bujh jae
is baat ka dekho dhyan rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.