is chehre par sham zara si gahri hai
ye āñkheñ bilkul vaisī haiñ
jaisī mire ḳhvāb meñ aatī thiiñ
peshānī thoḌī haT kar hai
par hoñToñ par muskān kī bantī miTtī lahreñ vaisī haiñ
āvāz kā zer-o-bam bhī bilkul vaisā hai
aur haath jinheñ meñ ḳhvāb meñ bhī
chhūnā chāhūñ to kaañp uThūñ
ye haath bhī bilkul vaise haiñ
ye chehra bilkul vaisā hai
par is par chhā.ī ḳhāmoshī kuchh an-dekhī
aur us chehre par shaam zarā sī gahrī hai
in shānoñ kā phailāo thoḌā kam hai
lekin qāmat bilkul vaisī hai
aur tum se mil kar mere dil kī hālat bilkul vaisī hai
ye aankhen bilkul waisi hain
jaisi mere KHwab mein aati thin
peshani thoDi haT kar hai
par honTon par muskan ki banti miTti lahren waisi hain
aawaz ka zer-o-bam bhi bilkul waisa hai
aur hath jinhen mein KHwab mein bhi
chhuna chahun to kanp uThun
ye hath bhi bilkul waise hain
ye chehra bilkul waisa hai
par is par chhai KHamoshi kuchh an-dekhi
aur us chehre par sham zara si gahri hai
in shanon ka phailao thoDa kam hai
lekin qamat bilkul waisi hai
aur tum se mil kar mere dil ki haalat bilkul waisi hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 492)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.