is dharti ke tare hum hain
ye ma.azūr bekas ġhabī zehnī bachche
haiñ insāñ nahīñ koī maaTī ke putle
zabāñ se haiñ gūñge samā.at se aarī
banāo na in ko saḌak ke bhikārī
haiñ pur-pech-tar in kī hastī ke raste
ki pur-soz jaise hoñ bansī ke naġhme
sarāpe ko un ke na be-kār kahnā
ye haiñ zindagī kā hasīñ ek gahnā
kabhī ye hañsā.eñ kabhī ruuTh jaa.eñ
diloñ se ġhamoñ kī lakīreñ miTā.eñ
ye naT-khaT haTīle bahut chulbule haiñ
adāoñ meñ in kī ajab valvale haiñ
kaTī uñgliyāñ haiñ musavvir baneñge
apāhij sahī phir bhī tājir baneñge
mohabbat kā sīnoñ meñ jazba jagāo
samājī farīze ko apne nibhāo
ye ik farz aisā ki rāhat hai is meñ
chhupī ibn-e-ādam kī azmat hai is meñ
inheñ ġhaur se tum ghaḌī bhar jo dekho
mashiyyat hai qudrat kī kuchh is ko samjho
sulūk un se rakkho mohabbat vafā kā
sila pāoge tum bhī be-shak jazā kā
inheñ bhuul kar na kabhī duur rakhnā
'adīm' in sitāroñ ko māmūr rakhnā
ye mazur bekas ghabi zehni bachche
hain insan nahin koi maTi ke putle
zaban se hain gunge samaat se aari
banao na in ko saDak ke bhikari
hain pur-pech-tar in ki hasti ke raste
ki pur-soz jaise hon bansi ke naghme
sarape ko un ke na be-kar kahna
ye hain zindagi ka hasin ek gahna
kabhi ye hansaen kabhi ruTh jaen
dilon se ghamon ki lakiren miTaen
ye naT-khaT haTile bahut chulbule hain
adaon mein in ki ajab walwale hain
kaTi ungliyan hain musawwir banenge
apahij sahi phir bhi tajir banenge
mohabbat ka sinon mein jazba jagao
samaji farize ko apne nibhao
ye ek farz aisa ki rahat hai is mein
chhupi ibn-e-adam ki azmat hai is mein
inhen ghaur se tum ghaDi bhar jo dekho
mashiyyat hai qudrat ki kuchh is ko samjho
suluk un se rakkho mohabbat wafa ka
sila paoge tum bhi be-shak jaza ka
inhen bhul kar na kabhi dur rakhna
'adim' in sitaron ko mamur rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.