is gali ke moD par
is galī ke moḌ par ik aziiz dost ne
mere ashk poñchh kar
aaj mujh se ye kahā
yuuñ na dil jalāo tum
luuT maar kā hai raaj
jal rahā hai kul samāj
ye fuzūl rāgnī
mujh ko mat sunāo tum
burzhvā samāj hai
luuT maar choriyāñ is kā vasf-e-ḳhās hai
is ko mat bhulāo tum
inqalāb aa.egā
us se lau lagāo tum
ho sake to aaj kal maal kuchh banāo tum
khaa.ī se nikalne kī aarzū se pesh-tar
dekh lo zarā jo hai dūsrī taraf hai gaḌhā hai
aaj haiñ jo hukmarāñ un se baḌh ke ḳhaufnāk un ke sab raqīb haiñ
dandanā rahe haiñ jo le ke haath meñ chhurā
shukr kā maqām hai
merī masḳh laash aap ko kahīñ milī nahīñ
ik galī ke moḌ par
maiñ ne pūchhā vāqa.ī
sun ke muskurā diyā kitnī der ho ga.ī
lījiye maiñ ab chalā us ke ba.ad ab kyā huā
khaḌkhaḌā.īñ haDDiyāñ
us galī ke moḌ se vo kahīñ chalā gayā
is gali ke moD par ek aziz dost ne
mere ashk ponchh kar
aaj mujh se ye kaha
yun na dil jalao tum
luT mar ka hai raj
jal raha hai kul samaj
ye fuzul ragni
mujh ko mat sunao tum
burzhwa samaj hai
luT mar choriyan is ka wasf-e-KHas hai
is ko mat bhulao tum
inqalab aaega
us se lau lagao tum
ho sake to aaj kal mal kuchh banao tum
khai se nikalne ki aarzu se pesh-tar
dekh lo zara jo hai dusri taraf hai gaDha hai
aaj hain jo hukmaran un se baDh ke KHaufnak un ke sab raqib hain
dandana rahe hain jo le ke hath mein chhura
shukr ka maqam hai
meri masKH lash aap ko kahin mili nahin
ek gali ke moD par
main ne puchha waqai
sun ke muskura diya kitni der ho gai
lijiye main ab chala us ke baad ab kya hua
khaDkhaDain haDDiyan
us gali ke moD se wo kahin chala gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.