is tarah chhu ke guzarti hai teri yaad mujhe
is tarah chhū ke guzartī hai tirī yaad mujhe
jaise iqrār ke lamhoñ ko hayā chhūtī hai
jaise ghultā hai ghaTāoñ kā badan paanī meñ
jaise phūloñ kī qabāoñ ko sabā chhūtī hai
jaise dam toḌtī rūhoñ se gale aas lage
jaise mazlūm ke hoñToñ ko duā chhūtī hai
jaise sūraj kī kiran chuum le ruḳh dhartī kā
jaise sajde kī ziyā nūr-e-ḳhudā chhūtī hai
is tarah chhu ke guzarti hai teri yaad mujhe
jaise iqrar ke lamhon ko haya chhuti hai
jaise ghulta hai ghaTaon ka badan pani mein
jaise phulon ki qabaon ko saba chhuti hai
jaise dam toDti ruhon se gale aas lage
jaise mazlum ke honTon ko dua chhuti hai
jaise suraj ki kiran chum le ruKH dharti ka
jaise sajde ki ziya nur-e-KHuda chhuti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.