is zamana ki mohabbat
husn kī ham ne haqīqat dekh lī
ishq kī ham ne musībat dekh lī
zāhidoñ kī ham ne sangat dekh lī
aur rindoñ kī bhī sohbat dekh lī
hai zamāne meñ mohabbat naam ko
is zamāne kī mohabbat dekh lī
jis vafā par ham ko itnā naaz thā
us vafā kī ham ne qīmat dekh lī
ek aalam meñ hai hangāmoñ kā shor
ham ne duniyā meñ qayāmat dekh lī
haq ko bhī dhokā duāoñ ne diyā
haq ne bandoñ kī ibādat dekh lī
tere sheroñ ko jo dekhā ai 'purī'
dard-e-dil kī un meñ hasrat dekh lī
husn ki hum ne haqiqat dekh li
ishq ki hum ne musibat dekh li
zahidon ki hum ne sangat dekh li
aur rindon ki bhi sohbat dekh li
hai zamane mein mohabbat nam ko
is zamane ki mohabbat dekh li
jis wafa par hum ko itna naz tha
us wafa ki hum ne qimat dekh li
ek aalam mein hai hangamon ka shor
hum ne duniya mein qayamat dekh li
haq ko bhi dhoka duaon ne diya
haq ne bandon ki ibaadat dekh li
tere sheron ko jo dekha ai 'puri'
dard-e-dil ki un mein hasrat dekh li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.