is zindagi ke badle
is zindagī ke badle
mujhe banā diyā jaatā
bādaloñ se girtī huī ek buuñd
kisī sūkhī ghaas ke gaTThar par
paḌā huā ek tinkā
yā
bahte hue paanī ke ās-pās
jamī huī kaa.ī
is zindagī ke badle
mujhe banā diyā jaatā
ek raat se dūsrī raat tak
phailā huā be-mazā zā.iqa
yā
vo daana jis kisī parinde kī choñch se gir rihā ho
is zindagī ke badle
mujhe dīvār par phaile hue
sīlan-zada dhabbe meñ badal diyā jaatā
yā
pahāḌoñ par Thahrī huī barf
jo kisī ne na dekhī ho
yā
ek tābūt jo kisī marne vaale se
ḳhālī karā liyā gayā ho
is zindagi ke badle
mujhe bana diya jata
baadalon se girti hui ek bund
kisi sukhi ghas ke gaTThar par
paDa hua ek tinka
ya
bahte hue pani ke aas-pas
jami hui kai
is zindagi ke badle
mujhe bana diya jata
ek raat se dusri raat tak
phaila hua be-maza zaiqa
ya
wo dana jis kisi parinde ki chonch se gir riha ho
is zindagi ke badle
mujhe diwar par phaile hue
silan-zada dhabbe mein badal diya jata
ya
pahaDon par Thahri hui barf
jo kisi ne na dekhi ho
ya
ek tabut jo kisi marne wale se
KHali kara liya gaya ho
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 92)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.