isfanj ki andhi siDhiyon par
mujhe us generator kī talāsh hai
jo sayyāroñ ko bijlī supply kartā hai
aur jis ke current se mere cell raushan hote haiñ
maiñ ne ek aadmī ke māthe par
ġhurūr-e-sajādgī ke gulāb dekhe
vahāñ chhoTī īñToñ kī dīvār par ism-e-siyādat chamaktā hai
phir havā ne Tiin kī chādareñ gardanoñ par pheñkīñ
maa.eñ niiñd se laḌne lagīñ
baap āñgan ko parvāz se rokte rahe
aur zamīn ke nīche maayā kī degeñ saraktī rahīñ
bakriyoñ ne shor kiyā
pahlauTī vaalā do
pahlauTī vaalā do
vo dekho isfanj kī andhī sīḌhiyoñ par
nāḳhun ke ba.ad nāḳhun
safar safar safar
ghūmte hue pahiye
TūTte hue break
ek inch meñ hazār inch ġhubār
aur schōl uniform
ham gear badalne se pahle hī
danger zone meñ kyuuñ dāḳhil ho jaate haiñ
būḌhā driver sochtā hai
rānoñ ke cross par chehre kī haDDī kis ḳhatre kā nishān hai
mujhe us generator ki talash hai
jo sayyaron ko bijli supply karta hai
aur jis ke current se mere cell raushan hote hain
main ne ek aadmi ke mathe par
ghurur-e-sajadgi ke gulab dekhe
wahan chhoTi inTon ki diwar par ism-e-siyaadat chamakta hai
phir hawa ne Tin ki chadaren gardanon par phenkin
maen nind se laDne lagin
bap aangan ko parwaz se rokte rahe
aur zamin ke niche maya ki degen sarakti rahin
bakriyon ne shor kiya
pahlauTi wala do
pahlauTi wala do
wo dekho isfanj ki andhi siDhiyon par
naKHun ke baad naKHun
safar safar safar
ghumte hue pahiye
TuTte hue break
ek inch mein hazar inch ghubar
aur school uniform
hum gear badalne se pahle hi
danger zone mein kyun daKHil ho jate hain
buDha driwer sochta hai
ranon ke cross par chehre ki haDDi kis KHatre ka nishan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.