ishq apne mujrmon ko pa-ba-jaulan le chala
daar kī rassiyoñ ke gulū-band gardan meñ pahne hue
gaane vaale har ik roz gaate rahe
pāyaleñ beḌiyoñ kī bajāte hue
nāchne vaale dhūmeñ machāte rahe
ham na is saf meñ the aur na us saf meñ the
rāste meñ khaḌe un ko takte rahe
rashk karte rahe
aur chup chaap aañsū bahāte rahe
lauT kar aa ke dekhā to phūloñ kā rañg
jo kabhī surḳh thā zard hī zard hai
apnā pahlū TaTolā to aisā lagā
dil jahāñ thā vahāñ dard hī dard hai
gulū meñ kabhī tauq kā vāhima
kabhī paañv meñ raqs-e-zanjīr
aur phir ek din ishq unhīñ kī tarah
rasan-dar-gulū pā-ba-jaulāñ hameñ
usī qāfile meñ kashāñ le chalā
dar ki rassiyon ke gulu-band gardan mein pahne hue
gane wale har ek roz gate rahe
payalen beDiyon ki bajate hue
nachne wale dhumen machate rahe
hum na is saf mein the aur na us saf mein the
raste mein khaDe un ko takte rahe
rashk karte rahe
aur chup chap aansu bahate rahe
lauT kar aa ke dekha to phulon ka rang
jo kabhi surKH tha zard hi zard hai
apna pahlu TaTola to aisa laga
dil jahan tha wahan dard hi dard hai
gulu mein kabhi tauq ka wahima
kabhi panw mein raqs-e-zanjir
aur phir ek din ishq unhin ki tarah
rasan-dar-gulu pa-ba-jaulan hamein
usi qafile mein kashan le chala
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 694)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.