ishq-e-gurezan
sard ho chukī mahfil
aur tū ne parvāne
ḳhvāhishoñ se begāne
jaan se guzarne kā
khel hī nahīñ khelā
bujh gayā terā bhī dil
sard ho chukī mahfil
aadmī ko jiinā hai
ham-kanār-e-ġham ho kar
lutf-e-zindagī kho kar
aaj aur kal barsoñ
bebasī ke bal barsoñ
zahr-e-zīst piinā hai
aadmī ko jiinā hai
umr par na jā us kī
ye tavīl majbūrī
apnī asl se duurī
vaj.h-e-dard-e-hastī hai
nañg-e-nān-o-mastī hai
umr hai sazā us kī
umr par na jā us kī
dekh raat jaatī hai
uTh bhī jā lapak kar aa
ban-sañvar chamak kar aa
sub.h hone se pahle
maut hī se dil bahle
sham.a jhilmilātī hai
dekh raat jaatī hai
sard ho chuki mahfil
aur tu ne parwane
KHwahishon se begane
jaan se guzarne ka
khel hi nahin khela
bujh gaya tera bhi dil
sard ho chuki mahfil
aadmi ko jina hai
ham-kanar-e-gham ho kar
lutf-e-zindagi kho kar
aaj aur kal barson
bebasi ke bal barson
zahr-e-zist pina hai
aadmi ko jina hai
umr par na ja us ki
ye tawil majburi
apni asl se duri
wajh-e-dard-e-hasti hai
nang-e-nan-o-masti hai
umr hai saza us ki
umr par na ja us ki
dekh raat jati hai
uTh bhi ja lapak kar aa
ban-sanwar chamak kar aa
subh hone se pahle
maut hi se dil bahle
shama jhilmilati hai
dekh raat jati hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 241)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.