ishq-e-na-tamam
kaun kahtā hai ham tum judā ho ga.e
zindagī se achānak ḳhafā ho ga.e
hijr-e-ālam pe chhāyā thā kuchh is tarah
vasl ke ḳhvāb vaqf-e-duā ho ga.e
vaqt-e-mīzān meñ jaane kyā baat thī
tiir jo be-ḳhatā the ḳhatā ho ga.e
ham ki jis but ko be-jān samjhā kiye
vo zamāne meñ kyuuñ devtā ho ga.e
ek din yuuñ huā husn-e-sarkār meñ
mudda.ī jo na the mudda.ā ho ga.e
kuchh irāde bhī the kuchh tamāshe bhī the
raqs ke aks bhī māvarā ho ga.e
dekhte dekhte ham fanā the magar
dekhte dekhte tum ḳhudā ho ga.e
kaun kahta hai hum tum juda ho gae
zindagi se achanak KHafa ho gae
hijr-e-alam pe chhaya tha kuchh is tarah
wasl ke KHwab waqf-e-dua ho gae
waqt-e-mizan mein jaane kya baat thi
tir jo be-KHata the KHata ho gae
hum ki jis but ko be-jaan samjha kiye
wo zamane mein kyun dewta ho gae
ek din yun hua husn-e-sarkar mein
muddai jo na the muddaa ho gae
kuchh irade bhi the kuchh tamashe bhi the
raqs ke aks bhi mawara ho gae
dekhte dekhte hum fana the magar
dekhte dekhte tum KHuda ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.