ishq-e-watan
ishq-e-vatan meñ jab se dīvāna ho gayā huuñ
paidā shajar ho jis se vo daana ban gayā huuñ
be-shak zamīñ meñ mujh ko ḳhush ho ke ab milā tū
dard-e-zabāñ huuñ sab kā afsāna ho gayā huuñ
qurbān huuñ adū ke zor-e-sitam ke sadqe
sah sah ke ranj-o-ġham ko mardāna ho gayā huuñ
dil meñ charāġh jab se raushan huā vatan kā
parvā na jo ki kuchh bhī parvāna ho gayā huuñ
saaqī sharāb terī ab kyā asar karegī
hubb-e-vatan kī mai pī mastāna ho gayā huuñ
tāsīr-e-ishq yaaro dekhī tirī nirālī
pī pī sharāb-e-ulfat begāna ho gayā huuñ
ishq-e-watan mein jab se diwana ho gaya hun
paida shajar ho jis se wo dana ban gaya hun
be-shak zamin mein mujh ko KHush ho ke ab mila tu
dard-e-zaban hun sab ka afsana ho gaya hun
qurban hun adu ke zor-e-sitam ke sadqe
sah sah ke ranj-o-gham ko mardana ho gaya hun
dil mein charagh jab se raushan hua watan ka
parwa na jo ki kuchh bhi parwana ho gaya hun
saqi sharab teri ab kya asar karegi
hubb-e-watan ki mai pi mastana ho gaya hun
tasir-e-ishq yaro dekhi teri nirali
pi pi sharab-e-ulfat begana ho gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.