ishq ka raqs
ek dā.ere pe khaḌe ho kar
vo dhun sunñā chaah rahī huuñ
jis pe kā.enāt mahv-e-raqs hai
koī bhī dalīl nā-kāfī hai
ubharte sūraj kī kirneñ paḌh kar
din-bhar kī dāstān likhī jā saktī hai
saat rangoñ kā majmūa agar bole to
ek izāfī rang ban saktā hai
magar chāñd kī chhāñv meñ baiThī
saif-ul-mulūk sun kar
raat ko ruuh pe jhelne vaalī kī
dalīl kā javāb
abhī tak nahīñ milā
ishq kā raqs jaarī hai
ek daere pe khaDe ho kar
wo dhun sunna chah rahi hun
jis pe kaenat mahw-e-raqs hai
koi bhi dalil na-kafi hai
ubharte suraj ki kirnen paDh kar
din-bhar ki dastan likhi ja sakti hai
sat rangon ka majmua agar bole to
ek izafi rang ban sakta hai
magar chand ki chhanw mein baiThi
saif-ul-muluk sun kar
raat ko ruh pe jhelne wali ki
dalil ka jawab
abhi tak nahin mila
ishq ka raqs jari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.