ishq ki baaten
vo jitne rang malāl ke haiñ
ham kyā jāneñ kis haal ke haiñ
ham raahī dasht-e-ḳhayāl ke haiñ
aur saa.il ek visāl ke haiñ
ham hijr kī maar se Darte haiñ
aur ishq kī bāteñ karte haiñ
ham aql ke tāne-bāne haiñ
mat samjho ham mastāne haiñ
in rāhoñ se begāne haiñ
bas naam ke hī dīvāne haiñ
ham nām-o-numūd pe marte haiñ
aur ishq kī bāteñ karte haiñ
ham hosh ke shahr meñ rahte haiñ
aur mauj-e-tarab meñ bahte haiñ
kab kaun sā sadma sahte haiñ
bas ḳhvāb kā qissa kahte haiñ
ham jhūTī aaheñ bharte haiñ
aur ishq kī bāteñ karte haiñ
wo jitne rang malal ke hain
hum kya jaanen kis haal ke hain
hum rahi dasht-e-KHayal ke hain
aur sail ek visal ke hain
hum hijr ki mar se Darte hain
aur ishq ki baaten karte hain
hum aql ke tane-bane hain
mat samjho hum mastane hain
in rahon se begane hain
bas nam ke hi diwane hain
hum nam-o-numud pe marte hain
aur ishq ki baaten karte hain
hum hosh ke shahr mein rahte hain
aur mauj-e-tarab mein bahte hain
kab kaun sa sadma sahte hain
bas KHwab ka qissa kahte hain
hum jhuTi aahen bharte hain
aur ishq ki baaten karte hain
- Book : رنگ سا اڑتا ہے (Pg. 85)
- Author : اشفاق عامر
- Publication : عکاس پبلی کیشنز،اسلام آباد
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.