ishq
maiñ tirī khoj meñ
sahrā sahrā bhaTaktī rahī muddatoñ
nange paañv meñ phūTe hue aable jab sisakne lage
hoñT paanī kī ḳhātir bilakne lage
ḳhushk hoñToñ pe apnī zabāñ pherte
āsmāñ kī taraf aañkh dauḌā.ī to
aañkh se chand aañsū Tapak kar mere
kaan ko Dhāñpte mere bāloñ kī sūkhī laToñ ko bhigote hue kaan meñ jā gire
chīḳhte chīḳhte jab galā phāḌte
merī āvāz bhī baiTh jaane laggī
tujh ko āvāz de kar pukārā bahut
merī apnī sadā kuchh pahāḌoñ se Takrā ke apne hī kānoñ meñ lauT aa.ī to
phir mujhe yuuñ lagā
merī har ik sadā ab tire kaan ko chīrne se to qāsir rahegī sadā
mujh ko tū na milā
gard ālūd bikhre hue baal āñchal se Dhāñpe hue
maiñ ḳhudā ke jo sajde meñ phir gir paḌī
chīḳhtī hī rahī
chīḳhtī hī rahī
chīḳhtī hī rahī
mujh ko tū to milā hī nahīñ haañ magar
phir kuchh aisā huā
mere ashkoñ ne sahrā kī taptī huī ret kī pyaas ko jab bujhāyā to phir us samay
ek jhoñkā sā chanchal sī ḳhushbū liye mere atrāf meñ khil gayā
tū milā ki nahīñ par ḳhudā mil gayā
main teri khoj mein
sahra sahra bhaTakti rahi muddaton
nange panw mein phuTe hue aable jab sisakne lage
honT pani ki KHatir bilakne lage
KHushk honTon pe apni zaban pherte
aasman ki taraf aankh dauDai to
aankh se chand aansu Tapak kar mere
kan ko Dhanpte mere baalon ki sukhi laTon ko bhigote hue kan mein ja gire
chiKHte chiKHte jab gala phaDte
meri aawaz bhi baiTh jaane laggi
tujh ko aawaz de kar pukara bahut
meri apni sada kuchh pahaDon se Takra ke apne hi kanon mein lauT aai to
phir mujhe yun laga
meri har ek sada ab tere kan ko chirne se to qasir rahegi sada
mujh ko tu na mila
gard aalud bikhre hue baal aanchal se Dhanpe hue
main KHuda ke jo sajde mein phir gir paDi
chiKHti hi rahi
chiKHti hi rahi
chiKHti hi rahi
mujh ko tu to mila hi nahin han magar
phir kuchh aisa hua
mere ashkon ne sahra ki tapti hui ret ki pyas ko jab bujhaya to phir us samay
ek jhonka sa chanchal si KHushbu liye mere atraf mein khil gaya
tu mila ki nahin par KHuda mil gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.