ishq-nama
'ishq hiirā hai guhar hai to kabhī patthar hai
'ishq āġhāz se anjām talak rahbar hai
'ishq insāñ ke liye besh-bahā daulat hai
'ishq mil jaa.e jise us kī baḌī qismat hai
'ishq haivān ko insān banā detā hai
'ishq har kaam ko āsān banā detā hai
'ishq kho jaa.e to insān bikhar jaatā hai
'ishq mil jaa.e to shaitān sañvar jaatā hai
'ishq andāz-e-mohabbat kā kañval hotā hai
'ishq tahrīr jo ban jaa.e ġhazal hotā hai
'ishq har tarah se pahchān banā letā hai
'ishq kā martaba duniyā meñ bahut ūñchā hai
'ishq īmān hai farmān hai faizān bhī hai
'ishq pahchān hai mīzān hai nuqsān bhī hai
'ishq mahrūm hai mazlūm hai masmūm bhī hai
'ishq kī saare zamāne meñ bahut dhuum bhī hai
'ishq tafsīl hai tashkīl hai tamsīl bhī hai
'ishq tashīl hai ta.amīl hai takmīl bhī hai
'ishq mā'būd hai maqsūd hai maujūd bhī hai
'ishq mahdūd hai mahmūd hai mash.hūd bhī hai
'ishq tamhīd hai taqlīd hai tanqīd bhī hai
'ishq tā.īd hai tajdīd hai ḳhurshīd bhī hai
'ishq tālib bhī hai ġhālib bhī hai tahzīb bhī hai
'ishq vājib bhī hai rāhib bhī hai tarġhīb bhī hai
'ishq taqdīs hai aur bā.is-e-aġhlāt bhī hai
'ishq afsos hai amrāz hai muhtāt bhī hai
'ishq se zaḳhm jo mil jaa.e sañbhāle rakhiye
'ishq miT jaa.e to yādoñ ko ujāle rakhiye
'ishq hira hai guhar hai to kabhi patthar hai
'ishq aaghaz se anjam talak rahbar hai
'ishq insan ke liye besh-baha daulat hai
'ishq mil jae jise us ki baDi qismat hai
'ishq haiwan ko insan bana deta hai
'ishq har kaam ko aasan bana deta hai
'ishq kho jae to insan bikhar jata hai
'ishq mil jae to shaitan sanwar jata hai
'ishq andaz-e-mohabbat ka kanwal hota hai
'ishq tahrir jo ban jae ghazal hota hai
'ishq har tarah se pahchan bana leta hai
'ishq ka martaba duniya mein bahut uncha hai
'ishq iman hai farman hai faizan bhi hai
'ishq pahchan hai mizan hai nuqsan bhi hai
'ishq mahrum hai mazlum hai masmum bhi hai
'ishq ki sare zamane mein bahut dhum bhi hai
'ishq tafsil hai tashkil hai tamsil bhi hai
'ishq tashil hai tamil hai takmil bhi hai
'ishq ma'bud hai maqsud hai maujud bhi hai
'ishq mahdud hai mahmud hai mashhud bhi hai
'ishq tamhid hai taqlid hai tanqid bhi hai
'ishq taid hai tajdid hai KHurshid bhi hai
'ishq talib bhi hai ghaalib bhi hai tahzib bhi hai
'ishq wajib bhi hai rahib bhi hai targhib bhi hai
'ishq taqdis hai aur bais-e-aghlat bhi hai
'ishq afsos hai amraaz hai muhtat bhi hai
'ishq se zaKHm jo mil jae sanbhaale rakhiye
'ishq miT jae to yaadon ko ujale rakhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.