ishq-o-mohabbat
is baaġh meñ ik gul hī nahīñ mujh ko piyārā
kartā hai har ik ḳhaar bhī ulfat kā ishārā
mamnūn na apnoñ kā na ġhairoñ kā rahā maiñ
chamkā mirī taqdīr kā hai aap sitārā
hargiz kisī imdād kā muhtāj nahīñ maiñ
ho jaatā hai har mast qalandar kā guzārā
'unvān mirī nazm kā hai 'ishq-o-mohabbat
bahtā nahīñ har samt mirī fikr kā dhārā
jaate haiñ usī samt qadam be-ḳhabarī meñ
kis māh-laqā ne mujhe chilman se pukārā
ab hind se pahuñchā hai mire 'ishq kā charchā
tā-hadd-e-karāchi-o-samarqand-o-buḳhārā
yaksāñ jo gul-o-ḳhār se ik rabt hai mujh ko
kartā nahīñ gulshan meñ koī mujh se kinārā
haiñ mujh se mulāqāt ke mushtāq hazāroñ
kyā baat kare hāsid-e-bad-baḳht bechāra
jis phuul se aa.ī na mujhe 'ishq kī ḳhushbū
dil se bhī nikālā use nazroñ se utārā
donoñ ne ġharīboñ ko kiyā exploit
jachtā mirī nazroñ meñ sikandar hai na daarā
letā nahīñ maiñ kaam kabhī atomī bam se
maiñ ne jise maarā use ehsān se maarā
vo aur haiñ phir jaate haiñ jo 'ahd se apne
jo qaul diyā maiñ ne vo mar kar bhī na haarā
'ġhāzī' mire iḳhlās kā shāna thā ki jis ne
uljhe hue gesū-e-mohabbat ko sañvārā
is bagh mein ek gul hi nahin mujh ko piyara
karta hai har ek KHar bhi ulfat ka ishaara
mamnun na apnon ka na ghairon ka raha main
chamka meri taqdir ka hai aap sitara
hargiz kisi imdad ka muhtaj nahin main
ho jata hai har mast qalandar ka guzara
'unwan meri nazm ka hai 'ishq-o-mohabbat
bahta nahin har samt meri fikr ka dhaara
jate hain usi samt qadam be-KHabari mein
kis mah-laqa ne mujhe chilman se pukara
ab hind se pahuncha hai mere 'ishq ka charcha
ta-hadd-e-karachi-o-samarqand-o-buKHara
yaksan jo gul-o-KHar se ek rabt hai mujh ko
karta nahin gulshan mein koi mujh se kinara
hain mujh se mulaqat ke mushtaq hazaron
kya baat kare hasid-e-bad-baKHt bechaara
jis phul se aai na mujhe 'ishq ki KHushbu
dil se bhi nikala use nazron se utara
donon ne gharibon ko kiya exploit
jachta meri nazron mein sikandar hai na dara
leta nahin main kaam kabhi atomi bam se
main ne jise mara use ehsan se mara
wo aur hain phir jate hain jo 'ahd se apne
jo qaul diya main ne wo mar kar bhi na haara
'ghazi' mere iKHlas ka shana tha ki jis ne
uljhe hue gesu-e-mohabbat ko sanwara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.