ishrat-e-tanhai
maiñ ki mai-ḳhāna-e-ulfat kā purānā mai-ḳhvār
mahfil-e-husn kā ik mutrib-e-shīrīñ-guftār
māh-pāroñ kā hadaf zohra-jabīnoñ kā shikār
naġhma-pairā o navāsañj o ġhazal-ḳhvāñ huuñ maiñ
kitne dil-kash mire but-ḳhān-e-īmāñ ke sanam
vo kalīsāoñ ke aahū vo gazālān-e-haram
maiñ hama-shauq-o-mohabbat vo hama-lutf-o-karam
markaz-e-marhamat-e-mahfil-e-ḳhūbāñ huuñ maiñ
maujzan hai mai-e-ishrat mire paimānoñ meñ
yaas kā dard hai kam-tar mire afsānoñ meñ
kāmrānī hai par-afshāñ mire rūmānoñ meñ
yaas kī sa.i-e-junūñ-ḳhez pe ḳhandāñ huuñ maiñ
mere afkār meñ mahtāb kī tal.at ġhaltāñ
merī guftār meñ hai sub.h kī nuzhat ġhaltāñ
mere ash.ār meñ hai phūloñ kī nik.hat ġhaltāñ
rūh-e-gulzār huuñ maiñ jān-e-gulistāñ huuñ maiñ
laakh majbūr huuñ maiñ zauq-e-ḳhud-ārā.ī se
dil hai bezār ab is ishrat-e-tanhā.ī se
aañkh majbūr nahīñ hai mirī bīnā.ī se
mahram-e-dard-o-ġham-e-ālam-e-insāñ huuñ maiñ
kyuuñ na chāhūñ ki har ik haath meñ paimāna ho
yaas o mahrūmī o majbūrī ik afsāna ho
aam ab faiz-e-mai-o-sāqī-o-mai-ḳhāna ho
riñd huuñ aur jigar-gosha-e-riñdāñ huuñ maiñ
ab ye armāñ ki badal jaa.e jahāñ kā dastūr
ek ik aañkh meñ ho aish o farāġhat kā surūr
ek ik jism pe ho atlas o kam-ḳhvāb o samor
ab ye baat aur hai ḳhud chāk-garebāñ huuñ maiñ
main ki mai-KHana-e-ulfat ka purana mai-KHwar
mahfil-e-husn ka ek mutrib-e-shirin-guftar
mah-paron ka hadaf zohra-jabinon ka shikar
naghma-paira o nawasanj o ghazal-KHwan hun main
kitne dil-kash mere but-KHan-e-iman ke sanam
wo kalisaon ke aahu wo gazalan-e-haram
main hama-shauq-o-mohabbat wo hama-lutf-o-karam
markaz-e-marhamat-e-mahfil-e-KHuban hun main
maujzan hai mai-e-ishrat mere paimanon mein
yas ka dard hai kam-tar mere afsanon mein
kaamrani hai par-afshan mere rumanon mein
yas ki sai-e-junun-KHez pe KHandan hun main
mere afkar mein mahtab ki talat ghaltan
meri guftar mein hai subh ki nuzhat ghaltan
mere ashaar mein hai phulon ki nikhat ghaltan
ruh-e-gulzar hun main jaan-e-gulistan hun main
lakh majbur hun main zauq-e-KHud-arai se
dil hai bezar ab is ishrat-e-tanhai se
aankh majbur nahin hai meri binai se
mahram-e-dard-o-gham-e-alam-e-insan hun main
kyun na chahun ki har ek hath mein paimana ho
yas o mahrumi o majburi ek afsana ho
aam ab faiz-e-mai-o-saqi-o-mai-KHana ho
rind hun aur jigar-gosha-e-rindan hun main
ab ye arman ki badal jae jahan ka dastur
ek ek aankh mein ho aish o faraghat ka surur
ek ek jism pe ho atlas o kam-KHwab o samor
ab ye baat aur hai KHud chaak-gareban hun main
- Book : Kulliyaat-e-Majaz (Pg. 156)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.