isi do-rahe par
ab na un ūñche makānoñ meñ qadam rakhūñgā
maiñ ne ik baar ye pahle bhī qasam khaa.ī thī
apnī nādār mohabbat kī shikastoñ ke tufail
zindagī pahle bhī sharmā.ī thī jhunjhulā.ī thī
aur ye ahd kiyā thā ki ba-īñ hāl-e-tabāh
ab kabhī pyaar bhare giit nahīñ gā.uñgā
kisī chilman ne pukārā bhī to baḌh jā.ūñgā
koī darvāza khulā bhī to palaT ā.ūñgā
phir tire kāñpte hoñToñ kī fusūñ-kār hañsī
jaal bunñe lagī buntī rahī buntī hī rahī
maiñ khiñchā tujh se magar tū mirī rāhoñ ke liye
phuul chuntī rahī chuntī rahī chuntī hī rahī
barf barsā.ī mire zehn o tasavvur ne magar
dil meñ ik sho.ala-e-be-nām sā lahrā hī gayā
terī chup-chāp nigāhoñ ko sulagte pā kar
merī bezār tabī.at ko bhī pyaar aa hī gayā
apnī badlī huī nazroñ ke taqāze na chhupā
maiñ is andāz kā mafhūm samajh saktā huuñ
tere zar-kār darīchoñ kī bulandī kī qasam
apne iqdām kā maqsūm samajh saktā huuñ
ab na un ūñche makānoñ meñ qadam rakhūñgā
maiñ ne ik baar ye pahle bhī qasam khaa.ī thī
isī sarmāya o aflās ke dorāhe par
zindagī pahle bhī sharmā.ī thī jhunjhulā.ī thī
ab na un unche makanon mein qadam rakhunga
main ne ek bar ye pahle bhi qasam khai thi
apni nadar mohabbat ki shikaston ke tufail
zindagi pahle bhi sharmai thi jhunjhulai thi
aur ye ahd kiya tha ki ba-in haal-e-tabah
ab kabhi pyar bhare git nahin gaunga
kisi chilman ne pukara bhi to baDh jaunga
koi darwaza khula bhi to palaT aaunga
phir tere kanpte honTon ki fusun-kar hansi
jal bunne lagi bunti rahi bunti hi rahi
main khincha tujh se magar tu meri rahon ke liye
phul chunti rahi chunti rahi chunti hi rahi
barf barsai mere zehn o tasawwur ne magar
dil mein ek shoala-e-be-nam sa lahra hi gaya
teri chup-chap nigahon ko sulagte pa kar
meri bezar tabiat ko bhi pyar aa hi gaya
apni badli hui nazron ke taqaze na chhupa
main is andaz ka mafhum samajh sakta hun
tere zar-kar darichon ki bulandi ki qasam
apne iqdam ka maqsum samajh sakta hun
ab na un unche makanon mein qadam rakhunga
main ne ek bar ye pahle bhi qasam khai thi
isi sarmaya o aflas ke dorahe par
zindagi pahle bhi sharmai thi jhunjhulai thi
- Book : Kulliyat-e-Sahir (Pg. 94)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.