isi hawa-e-bahaar mein tum se phir milunga
ye vahm hai to burā nahīñ hai
jo ḳhvāb samjho to ḳhvāb samjho
magar milūñgā
yaqīñ ke sūraj kī raas thāme
ghaḌī kī suuī ghumā sako to
sadī kī
fasl-e-bahār mausam ke dar pe roko
jahāñ havā ne badan chhuā thā
to dast-e-jānāñ kī gūñdhī miTTī
mahak uThī thī
jahāñ laboñ ne duā paḌhī to
zamīñ ke siine pe phuul mahke
parind chahke
ka.ī lakīreñ kanār-e-dariyā
bichhī huī ret kī darī par
khiñchī mileñgī
daraḳht-e-shāḳhān chaTTān uupar
ravāñ samundar pe uñgliyoñ se
kisī ko likhtā
koī milegā
vahīñ pe tum log Thahar jaanā
usī havā-e-bahār meñ tum se phir milūñgā
ye wahm hai to bura nahin hai
jo KHwab samjho to KHwab samjho
magar milunga
yaqin ke suraj ki ras thame
ghaDi ki sui ghuma sako to
sadi ki
fasl-e-bahaar mausam ke dar pe roko
jahan hawa ne badan chhua tha
to dast-e-jaanan ki gundhi miTTi
mahak uThi thi
jahan labon ne dua paDhi to
zamin ke sine pe phul mahke
parind chahke
kai lakiren kanar-e-dariya
bichhi hui ret ki dari par
khinchi milengi
daraKHt-e-shaKHan chaTTan upar
rawan samundar pe ungliyon se
kisi ko likhta
koi milega
wahin pe tum log Thahar jaana
usi hawa-e-bahaar mein tum se phir milunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.