islam-abaad ki ek sham
zamīñ pe patte bikhar rahe haiñ
ḳhunuk huā ke udaas jhoñke
ga.ī rutoñ kī talāsh meñ haiñ
ḳhizāñ-zada bāġh-e-be-bahārāñ
ye kah rahā hai ki mujh ko dekho
ajiib din haiñ ajiib rāteñ
shikasta-pā be-nishāñ savere
mirā muqaddar haiñ bas añdhere
na ab parinde shajar pe gaate haiñ giit koī
bas ek be-nām fāsla hai
jo kohna peḌoñ ke darmiyāñ hai
ye girte pattoñ kī dāstāñ hai
buland-o-bālā daraḳht tanhā
fasurda jañgal ke darmiyāñ ab luTe khaḌe haiñ
ki saare manzar sisak rahe haiñ
tamām jañgal sukūt-e-ġham ke hisār meñ hai
hamāre hāthoñ se mish.al-e-ḳhvāb kis ne chhīnī
havā nahīñ hai to kaun mujrim hai, kuchh batāo
ye shaam patjhaḌ kī dā.imī to nahīñ hai 'nāzish'
bahār kī sub.h aane vaalī hai ġham na karnā
ummīd kā jo diyā jalāyā hai, us kī lau ko
havāoñ ke Dar se kam na karnā
jo kulfateñ haiñ jo vahshateñ haiñ
ye zindagī kī haqīqateñ haiñ
zamin pe patte bikhar rahe hain
KHunuk hua ke udas jhonke
gai ruton ki talash mein hain
KHizan-zada bagh-e-be-bahaaran
ye kah raha hai ki mujh ko dekho
ajib din hain ajib raaten
shikasta-pa be-nishan sawere
mera muqaddar hain bas andhere
na ab parinde shajar pe gate hain git koi
bas ek be-nam fasla hai
jo kohna peDon ke darmiyan hai
ye girte patton ki dastan hai
buland-o-baala daraKHt tanha
fasurda jangal ke darmiyan ab luTe khaDe hain
ki sare manzar sisak rahe hain
tamam jangal sukut-e-gham ke hisar mein hai
hamare hathon se mishal-e-KHwab kis ne chhini
hawa nahin hai to kaun mujrim hai, kuchh batao
ye sham patjhaD ki daimi to nahin hai 'nazish'
bahaar ki subh aane wali hai gham na karna
ummid ka jo diya jalaya hai, us ki lau ko
hawaon ke Dar se kam na karna
jo kulfaten hain jo wahshaten hain
ye zindagi ki haqiqaten hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.