ism-e-azam
ikkīs saal umr thī us kī bas
abhī us ne goyā zindagī ko aañkh bhar ke dekhā bhī na thā
khelne kūdne ke din the ki zamāne kī riit ke mutābiq
chaT mañgnī paT byaah ho gayā
aur tiin saal meñ tiin bachche bhī paidā ho ga.e
phir achānak bechārī ko vo bīmārī mil ga.ī
jis ke panje se koī ḳhush-nasīb hī chhuTtā hai
mujhe barsoñ pahle gaañv meñ apnī chitkabrī bakrī yaad aa ga.ī
jis ne ek jholī meñ pāñch bachche diye the
aur chand roz ba.ad mar ga.ī thī
marī huī bakrī ke thanoñ se is ke pāñchoñ bachche
duudh kī āḳhirī buuñd tak nichoḌ lene ke chakkar meñ
ek dūsre se guttham-gutthā ho rahe the
maiñ ne ḳhudā se kahā
ġhazab ke sitam-zarīf ho tum bhī
aadmī ko itnā kamzor paidā kiyā hai
bakrī kā bachcha to janm lete hī chaar Tāñgoñ par khaḌā ho jaatā hai
magar aadmī kā bachcha baras-hā-baras tak yatīmoñ kī tarah sahāre DhūñDhtā phirtā hai
aur phir tum ye sahāre bhī chhīn lete ho
chalo marhūm baap kī jagah to tum ḳhud pur kar lete ho
ki āsmānī baap kahlāne kā tumheñ azal se shauq hai
lekin ye nau-maulūd aur nau-ḳhez bachchoñ ko tum maaoñ se kis khāte meñ mahrūm kar dete ho
hañsā bahut hañsā
maiñ kahe baġhair na rah sakā ki āfrīn hai
dūsre ke dukh par is tarah khile bandoñ to saffāk siyāsat-dāñ bhī nahīñ hañste
achānak merā shāna jhiñjhoḌ kar bolā zarā merī taraf dekho
mujhe gumān thā ki to raat aur qur.ān ke aurāq se nikal kar
ek pur-jalāl mardāna paikar mere sāmne hogā
magar vahāñ to ek harī-bharī aurat khaḌī thī
jis kī chhātiyoñ se duudh kī dhāreñ favvāre kī tarah phuuT rahī thiiñ
qarīb thā ki maiñ ġhash khā kar gir jaatā
isī ne mujhe sambhālā diyā
aur dhīre se kahā
maiñ baap bhī huuñ āsmānoñ meñ
maiñ maañ bhī huuñ zamīn par
dobāra us kī jānib dekhā
āñkhoñ se do garm garm aañsū mere chehre par Tapak paḌe
maiñ ne kahā pahle tum hañs rahe the
ab tum ro rahī ho
kahā hañsī aur rone kā ek hī naam hai
zindagī
maiñ ne kahā tumhāre mardāna nāmoñ kā to shumār nahīñ
logoñ ko ninnānve ke phere meñ Daal rakkhā hai tum ne
murshidoñ se ism-e-āzam pūchhte pūchhte behāl ho jaate haiñ
ab tumhāre zanānā naam bhī DhūñDne paḌeñge
zer-e-lab muskurā ke kahā
paidā hote hī tum sab ke muñh par merā ism-e-āzam aa jaatā hai
har koī az-ḳhud pukār uThtā hai
maañ
aur phir apnī maañ kī chāhat meñ sab kī maañ kī bhuul jaatā hai
naam bhī yaad nahīñ rahtā us kā
ikkis sal umr thi us ki bas
abhi us ne goya zindagi ko aankh bhar ke dekha bhi na tha
khelne kudne ke din the ki zamane ki rit ke mutabiq
chaT mangni paT byah ho gaya
aur tin sal mein tin bachche bhi paida ho gae
phir achanak bechaari ko wo bimari mil gai
jis ke panje se koi KHush-nasib hi chhuTta hai
mujhe barson pahle ganw mein apni chitkabri bakri yaad aa gai
jis ne ek jholi mein panch bachche diye the
aur chand roz baad mar gai thi
mari hui bakri ke thanon se is ke panchon bachche
dudh ki aaKHiri bund tak nichoD lene ke chakkar mein
ek dusre se guttham-guttha ho rahe the
main ne KHuda se kaha
ghazab ke sitam-zarif ho tum bhi
aadmi ko itna kamzor paida kiya hai
bakri ka bachcha to janm lete hi chaar Tangon par khaDa ho jata hai
magar aadmi ka bachcha baras-ha-baras tak yatimon ki tarah sahaare DhunDhta phirta hai
aur phir tum ye sahaare bhi chhin lete ho
chalo marhum bap ki jagah to tum KHud pur kar lete ho
ki aasmani bap kahlane ka tumhein azal se shauq hai
lekin ye nau-maulud aur nau-KHez bachchon ko tum maon se kis khate mein mahrum kar dete ho
hansa bahut hansa
main kahe baghair na rah saka ki aafrin hai
dusre ke dukh par is tarah khile bandon to saffak siyasat-dan bhi nahin hanste
achanak mera shana jhinjhoD kar bola zara meri taraf dekho
mujhe guman tha ki to raat aur quran ke auraq se nikal kar
ek pur-jalal mardana paikar mere samne hoga
magar wahan to ek hari-bhari aurat khaDi thi
jis ki chhatiyon se dudh ki dhaaren fawware ki tarah phuT rahi thin
qarib tha ki main ghash kha kar gir jata
isi ne mujhe sambhaala diya
aur dhire se kaha
main bap bhi hun aasmanon mein
main man bhi hun zamin par
dobara us ki jaanib dekha
aankhon se do garm garm aansu mere chehre par Tapak paDe
main ne kaha pahle tum hans rahe the
ab tum ro rahi ho
kaha hansi aur rone ka ek hi nam hai
zindagi
main ne kaha tumhaare mardana namon ka to shumar nahin
logon ko ninnanwe ke phere mein Dal rakkha hai tum ne
murshidon se ism-e-azam puchhte puchhte behaal ho jate hain
ab tumhaare zanana nam bhi DhunDne paDenge
zer-e-lab muskura ke kaha
paida hote hi tum sab ke munh par mera ism-e-azam aa jata hai
har koi az-KHud pukar uThta hai
man
aur phir apni man ki chahat mein sab ki man ki bhul jata hai
nam bhi yaad nahin rahta us ka
- Book : din kaa phool (Pg. 53)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.