ismat ke phul
mire qarīb mohabbat kā ek jangal hai
jo is samāj kī rusvā.iyoñ kā āñchal hai
yahāñ pe log mohabbat ke giit gaate haiñ
yahīñ pe jism ġharīboñ ke noche jaate haiñ
yahāñ pe husn kā bāzār roz lagtā hai
yahīñ pe 'ishq kī rasmoñ kā daur-daura hai
yahāñ pe saare 'ibādat-guzār baiThte haiñ
yahīñ pe saare taqaddus guzār baiThte haiñ
yahāñ kī shaam mohabbat meñ raqs kartī hai
yahāñ kī raat añdheroñ meñ laḌkhaḌātī hai
yahāñ hijāb kī partoñ meñ aayā jaatā hai
yahīñ gulāb kī kaliyoñ ko maslā jaatā hai
yahāñ ke logoñ ko ham itnā saaf dekhte haiñ
ki jaise shaiḳh-e-adab zer-e-nāf dekhte haiñ
yahīñ pe shaiḳh-e-adab apnī raah bhūlte haiñ
yahīñ to shaiḳh-e-adab 'izz-o-jāh bhūlte haiñ
har ek shaḳhs usī dar se ho ke guzrā hai
yahāñ pe koī kahāñ āsmāñ se Tapkā hai
yahīñ to saare musāfir qiyām karte haiñ
yahīñ pe saare muhājir kalām karte haiñ
inhīñ ke zer-e-kisā vahshateñ panaptī haiñ
inhīñ ke zer-e-qadam jannateñ machaltī haiñ
ab iḳhtiyār tumhārā hai kyā uThānā hai
ye jism jannat-o-dozaḳh kā āshiyānā hai
mere qarib mohabbat ka ek jangal hai
jo is samaj ki ruswaiyon ka aanchal hai
yahan pe log mohabbat ke git gate hain
yahin pe jism gharibon ke noche jate hain
yahan pe husn ka bazar roz lagta hai
yahin pe 'ishq ki rasmon ka daur-daura hai
yahan pe sare 'ibaadat-guzar baiThte hain
yahin pe sare taqaddus guzar baiThte hain
yahan ki sham mohabbat mein raqs karti hai
yahan ki raat andheron mein laDkhaDati hai
yahan hijab ki parton mein aaya jata hai
yahin gulab ki kaliyon ko masla jata hai
yahan ke logon ko hum itna saf dekhte hain
ki jaise shaiKH-e-adab zer-e-naf dekhte hain
yahin pe shaiKH-e-adab apni rah bhulte hain
yahin to shaiKH-e-adab 'izz-o-jah bhulte hain
har ek shaKHs usi dar se ho ke guzra hai
yahan pe koi kahan aasman se Tapka hai
yahin to sare musafir qiyam karte hain
yahin pe sare muhajir kalam karte hain
inhin ke zer-e-kisa wahshaten panapti hain
inhin ke zer-e-qadam jannaten machalti hain
ab iKHtiyar tumhaara hai kya uThana hai
ye jism jannat-o-dozaKH ka aashiyana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.