istiare DhunDta rahta hun
isti.āre DhūñDhtā rahtā huuñ maiñ
dhuup meñ uḌtī sunahrī dhuul ke
bhed sat-rañgī tilismī phuul ke
jaane kis ke paañv kī maddham dhamak
dhyān kī dahlīz par suntā huuñ maiñ
isti.āre DhūñDhtā rahtā huuñ maiñ
jaane kis rañgat ko chhū kar
shahr meñ aatī hai shaam
bhuul jaatā huuñ gharoñ ke rāste logoñ ke naam
ek an-dekhe nagar kā rāsta
is safar meñ pūchhtā rahtā huuñ maiñ
isti.āre DhūñDhtā rahtā huuñ maiñ
ġhaib ke shahroñ se aatī hai havā
phuul sā uḌtā hai tere jism kā
vasl ke dar kholtī haiñ uñgliyāñ
ḳhuun meñ ghultā hai terā zā.iqa
aate jaate mausamoñ kī oT meñ
terā chehra dekhtā rahtā huuñ maiñ
isti.āre DhūñDhtā rahtā huuñ maiñ
istiare DhunDhta rahta hun main
dhup mein uDti sunahri dhul ke
bhed sat-rangi tilismi phul ke
jaane kis ke panw ki maddham dhamak
dhyan ki dahliz par sunta hun main
istiare DhunDhta rahta hun main
jaane kis rangat ko chhu kar
shahr mein aati hai sham
bhul jata hun gharon ke raste logon ke nam
ek an-dekhe nagar ka rasta
is safar mein puchhta rahta hun main
istiare DhunDhta rahta hun main
ghaib ke shahron se aati hai hawa
phul sa uDta hai tere jism ka
wasl ke dar kholti hain ungliyan
KHun mein ghulta hai tera zaiqa
aate jate mausamon ki oT mein
tera chehra dekhta rahta hun main
istiare DhunDhta rahta hun main
- Book : meyaar (Pg. 60)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.