istifham
muñh ko kyoñ pher rahe ho
nafrat se kyoñ dekh rahe ho
maiñ ne maanā
daaġh bahut haiñ us ke tan par
vo hai ik ganda sā kiiḌā
reñg rahā hai jo kīchaḌ meñ
lekin tum ye to batlāo
raat ga.e us ke kamre meñ
tan ke un dāġhoñ ko tum kyoñ
chuum rahe the
pyaar kī bolī bol rahe the
munh ko kyon pher rahe ho
nafrat se kyon dekh rahe ho
main ne mana
dagh bahut hain us ke tan par
wo hai ek ganda sa kiDa
reng raha hai jo kichaD mein
lekin tum ye to batlao
raat gae us ke kamre mein
tan ke un daghon ko tum kyon
chum rahe the
pyar ki boli bol rahe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.