istiqbaal
ubal rahā hai tarannum chhalak rahī hai sharāb
piyo piyo ki na.e saal kī kiran phūTī
magar ye kaun hai har baar mujh se kahtā hai
tirā ḳhumār bhī jhūTā sharāb bhī jhūTī
vo dekho bint-e-kalīsā kī nīlgūñ āñkheñ
jhukī jhukī sī haiñ palkeñ magar subū degī
ye chīḳh haañ ye tamaddun kī ek hichkī thī
isī dayār meñ insāniyat lahū degī
magar lahū to Tapaktā hai surḳh Doroñ se
usī lahū meñ sharābor haiñ lab-o-ruḳhsār
magar ye kis kā lahū hai jo mujh se kahtā hai
mire ubaal se baḌhtā hai zindagī kā vaqār
sukūn sabr qanā.at najāt taqdīreñ
ye borzā.ī tamaddun kī istelāheñ haiñ
qadam uThe haiñ to manzil pe jā ke dam leñge
mirī nigāh meñ duniyā kī shāhrāheñ haiñ
maiñ jāntā huuñ ye tahzīb jī nahīñ saktī
yahīñ hayāt kā zaḳhmī sukūt TūTegā
kaho kaho mire jāñ-bāz sāthiyoñ se kaho
isī ufuq pe nayā āftāb ubhregā
ubal raha hai tarannum chhalak rahi hai sharab
piyo piyo ki nae sal ki kiran phuTi
magar ye kaun hai har bar mujh se kahta hai
tera KHumar bhi jhuTa sharab bhi jhuTi
wo dekho bint-e-kalisa ki nilgun aankhen
jhuki jhuki si hain palken magar subu degi
ye chiKH han ye tamaddun ki ek hichki thi
isi dayar mein insaniyat lahu degi
magar lahu to Tapakta hai surKH Doron se
usi lahu mein sharabor hain lab-o-ruKHsar
magar ye kis ka lahu hai jo mujh se kahta hai
mere ubaal se baDhta hai zindagi ka waqar
sukun sabr qanaat najat taqdiren
ye borzai tamaddun ki istelahen hain
qadam uThe hain to manzil pe ja ke dam lenge
meri nigah mein duniya ki shahrahen hain
main jaanta hun ye tahzib ji nahin sakti
yahin hayat ka zaKHmi sukut TuTega
kaho kaho mere jaan-baz sathiyon se kaho
isi ufuq pe naya aaftab ubhrega
- Book : Aina Khane (Pg. 109)
- Author : Akhtar payami
- Publication : Zain Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.