itna na socho
miTTī ke bartan meñ
rakhī huī ḳhvāhisheñ
saḌ ga.iiñ
ab is bartan ko pheñk do
kamre meñ chāñd sūraj
sajāne kā pāgal-pan chhoḌ do
sub.h-o-shām meñ farq karnā chhoḌ do
shīshe ko patthar par toḌ do
cactus mohabbat kā maraz kī tarah baḌhtā hai
ise roko
apne ehsās ko aaTe kī tarah
kyoñ gūñdh rahe ho
itnā na dekho
ki āñkheñ pathrā jaa.eñ
itnā na socho
ki dimāġh mā.ūf ho jaa.e
miTTi ke bartan mein
rakhi hui KHwahishen
saD gain
ab is bartan ko phenk do
kamre mein chand suraj
sajaane ka pagal-pan chhoD do
subh-o-sham mein farq karna chhoD do
shishe ko patthar par toD do
cactus mohabbat ka maraz ki tarah baDhta hai
ise roko
apne ehsas ko aaTe ki tarah
kyon gundh rahe ho
itna na dekho
ki aankhen pathra jaen
itna na socho
ki dimagh mauf ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.