itne bahut se rang
salāḳhoñ se udhar
kuchh daraḳht, ek saḌak, kutte kī zanjīr thāme ek aadmī
aur ek Dor jis par rañg-birañge kapḌe suukh rahe haiñ
jismoñ ke baġhair ye kapḌe, bachchoñ ke baġhair ye maidān
mohabbat ke baġhair ye rāste
duniyā kitnī chhoTī nazar aatī hai
rañg-birañge kapḌe suukh jaane par
ek aurat aa.egī
tab ek ek kar ke ye qamīzeñ, patlūneñ aur farākeñ
apne apne jism hāsil kar leñge
tab maidān bachchoñ se
aur bachche ḳhushī se bhar jā.eñge
ye chhoTī sī kā.enāt rañgoñ se bhar jā.egī
itne bahut se rañg
ai aurat, itne bahut se rañg!
salaKHon se udhar
kuchh daraKHt, ek saDak, kutte ki zanjir thame ek aadmi
aur ek Dor jis par rang-birange kapDe sukh rahe hain
jismon ke baghair ye kapDe, bachchon ke baghair ye maidan
mohabbat ke baghair ye raste
duniya kitni chhoTi nazar aati hai
rang-birange kapDe sukh jaane par
ek aurat aaegi
tab ek ek kar ke ye qamizen, patlunen aur faraken
apne apne jism hasil kar lenge
tab maidan bachchon se
aur bachche KHushi se bhar jaenge
ye chhoTi si kaenat rangon se bhar jaegi
itne bahut se rang
ai aurat, itne bahut se rang!
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 122)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.