ittifaq
dayār-e-ġhair meñ koī jahāñ na apnā ho
shadīd karb kī ghaḌiyāñ guzār chukne par
kuchh ittifāq ho aisā ki ek shaam kahīñ
kisī ik aisī jagah se ho yūñhī merā guzar
jahāñ hujūm-e-gurezāñ meñ tum nazar aa jaao
aur ek ek ko hairat se dekhtā rah jaa.e!
dayar-e-ghair mein koi jahan na apna ho
shadid karb ki ghaDiyan guzar chukne par
kuchh ittifaq ho aisa ki ek sham kahin
kisi ek aisi jagah se ho yunhi mera guzar
jahan hujum-e-gurezan mein tum nazar aa jao
aur ek ek ko hairat se dekhta rah jae!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.