ittifaq
tamām log ibtidā meñ
ek dūsre ke sāmne
hujūm meñ dikhā.ī dene vaale kuchh nishāñ
mahz ajnabī
phir yakā-yak mo.ajaza tulū kā
aur ek rū-e-āftāb
bādaloñ ke paar se nikal ke rū-ba-rū
ḳhirām-e-nūr kū-ba-kū
purānā shahr
vaqt-e-shām
phailtā umaDtā ajnabī hujūm
hāo-hū ke darmiyān mo.ajaza huā
aur ek muztarib hasīn rū-e-dil-gudāz
mere jism o jaañ meñ dekhte hī dekhte samā gayā
vo raushnī thā mauj-e-āftāb thā
bas ik nazar meñ jaise maiñ ne us ko pā liyā
maiñ dam-ba-ḳhud sā rah gayā
ye hādsa thā vāqi.a thā kaisā ittifāq thā
tulū-e-nūr ke jilau meñ
ik tavīl pur-ḳhatar siyāh raat
shahr meñ utar ga.ī
tamam log ibtida mein
ek dusre ke samne
hujum mein dikhai dene wale kuchh nishan
mahz ajnabi
phir yaka-yak moajaza tulu ka
aur ek ru-e-aftab
baadalon ke par se nikal ke ru-ba-ru
KHiram-e-nur ku-ba-ku
purana shahr
waqt-e-sham
phailta umaDta ajnabi hujum
hao-hu ke darmiyan moajaza hua
aur ek muztarib hasin ru-e-dil-gudaz
mere jism o jaan mein dekhte hi dekhte sama gaya
wo raushni tha mauj-e-aftab tha
bas ek nazar mein jaise main ne us ko pa liya
main dam-ba-KHud sa rah gaya
ye hadsa tha waqia tha kaisa ittifaq tha
tulu-e-nur ke jilau mein
ek tawil pur-KHatar siyah raat
shahr mein utar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.