ittihad ki taqat
ektā meñ tāqat hai
ektā mohabbat hai
ittihād o yak-jehtī
vaqt kī zarūrat hai
ittihād kī tāqat
farq sab miTātī hai
nafratoñ kī dīvāreñ
raah se haTātī hai
chetnā kī chingārī
nuur kī kiran ban kar
tīrgī miTātī hai
raushnī ugātī hai
inqalāb ke sūraj
jagmagāne lagte haiñ
zindagī ke matvāle
gungunāne lagte haiñ
amn ke tarānoñ ko
mil ke gaane lagte haiñ
utre utre se chehre
muskurāne lagte haiñ
ekta mein taqat hai
ekta mohabbat hai
ittihad o yak-jehti
waqt ki zarurat hai
ittihad ki taqat
farq sab miTati hai
nafraton ki diwaren
rah se haTati hai
chetna ki chingari
nur ki kiran ban kar
tirgi miTati hai
raushni ugati hai
inqalab ke suraj
jagmagane lagte hain
zindagi ke matwale
gungunane lagte hain
amn ke taranon ko
mil ke gane lagte hain
utre utre se chehre
muskurane lagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.