ittihad
ye desh ki hindū aur muslim tahzīboñ kā shīrāza hai
sadiyoñ kī purānī baat hai ye par aaj bhī kitnī taaza hai
tārīḳh hai is kī ek amal tahlīloñ kā tarkīboñ kā
sambandh vo do ādarshoñ kā sanjog vo do tahzīboñ kā
vo ek taḌap vo ek lagan kuchh khone kī kuchh paane kī
vo ek talab do rūhoñ ke ik qālib meñ Dhal jaane kī
do sham.oñ kī lau pechāñ jaise ik sho.ala-e-nau ban jaane kī
do dhāreñ jaise madirā kī bhartī hui kisī paimāne kī
yuuñ ek tajallī jaag uThī nazroñ meñ haqīqat vāloñ kī
jis tarah hadeñ mil jaatī hoñ do samt se do ujyāloñ kī
āvāza-e-haq jab lahrā kar bhagTī kā tarāna bantā hai
ye rabt-e-baham ye jazb-e-darūñ ḳhud ek zamāna bantā hai
chishtī kā qutub kā har na.ara yak-rangī meñ Dhal jaatā hai
har dil pe kabīr aur tulsī ke dohoñ kā fusūñ chal jaatā hai
nānak kā kabit ban jaatī hai miirā kā bhajan ban jaatā hai
dil dil se jo ham āhang hue atvār mile andāz mile
ik aur zabāñ ta.amīr huī alfāz se jab alfāz mile
ye fikr o bayāñ kī ra.anā.ī duniyā-e-adab kī jaan banī
ye 'mīr' kā fan 'chakbast' kī lai 'ġhālib' kā amar dīvān banī
tahzīb kī is yak-jehtī ko urdu kī shahādat kaafī hai
kuchh aur nishāñ bhī milte haiñ thoḌī sī basīrat kaafī hai
ta.amīr ke parde meñ bhī ka.ī be-laus fusūñ mil jaate haiñ
ran-pūr ke mandir meñ ham ko masjid ke sutūñ mil jaate haiñ
vahdat kī isī chiñgārī se dil mom huā hai patthar kā
ajmer kī jāma.a masjid meñ ḳhud aks hai ajnabī mandar kā
phir aur zarā ye fan baḌh kar mānind-e-ġhazal ban jaatā hai
marmar kī ru-pahlī chāñdī se ik tāj-mahal ban jaatā hai
ye naqsh baham tahzīboñ kā maujūd hai sau tasvīroñ meñ
'mansūr' 'manohar' 'daulat' aur 'hāshim' kī subuk tahrīroñ meñ
dil saath dhaḌakte aa.e haiñ ḳhud saaz patā de dete haiñ
tartīb suroñ kī kaise huī ḳhud raag sadā de dete haiñ
is vaqt bhī jab ik mutrib ke hoñToñ pe ḳhayāl aa jaatā hai
sangat kī devī ke ruḳh par ik baar jamāl aa jaatā hai
Thumrī kī rasīlī tānoñ se naġhmoñ kī ghaTā.eñ aatī haiñ
chhiḌtā hai sitār ab bhī jo kahīñ ḳhusrav kī sadā.eñ aa.ī haiñ
salme kī damak kuchh kahtī hai raqqās ke rangīñ joḌe meñ
ik guuñj na.e andāz kī hai katthak ke dhamakte toḌe meñ
murlī kī suhānī sangat ko tā.ūs-o-rabāb aa jaate haiñ
champā ke mahakte pahlū meñ ḳhush-rang gulāb aa jaate haiñ
zehnoñ kī tahoñ meñ aaj bhī hai lahrā vo hasīñ shahnā.ī kā
akbar ke javāñ kāñdhe pe sajā jab Dolā jodhā-bā.ī kā
har diin se baḌh kar vo rishta ulfat kī junūñ-sāmānī kā
chehre se saraktā vo ghuñghaT tāroñ se hasīñ mastānī kā
aapas kī ye baḌhtī yak-jihatī ik moḌ pe jab ruk jaatī hai
insān ke aage insāñ kī ik baar nazar jhuk jaatī hai
ai arz-e-vatan maġhmūm na ho phir pyaar ke chashme phūTeñge
ye nasl-o-nasab ke paimāne ye zaat ke darpan TūTeñge
zehnoñ kī ghuTan miT jā.egī insāñ meñ tafakkur jāgegā
kal ek mukammal vahdat kā bebāk tasavvur jāgegā
ta.amīr na.ī vahdat hogī mānavtā kī buniyādoñ par
ai arz-e-vatan vishvās to kar ik baar hamāre va.adoñ par
is vahdat is yak-jihatī kī ta.amīr kā din ham lā.eñge
sadiyoñ ke sunahre ḳhvāboñ kī ta.abīr kā din ham lā.eñge
ye desh ki hindu aur muslim tahzibon ka shiraaza hai
sadiyon ki purani baat hai ye par aaj bhi kitni taza hai
tariKH hai is ki ek amal tahlilon ka tarkibon ka
sambandh wo do aadarshon ka sanjog wo do tahzibon ka
wo ek taDap wo ek lagan kuchh khone ki kuchh pane ki
wo ek talab do ruhon ke ek qalib mein Dhal jaane ki
do shamon ki lau pechan jaise ek shoala-e-nau ban jaane ki
do dhaaren jaise madira ki bharti hui kisi paimane ki
yun ek tajalli jag uThi nazron mein haqiqat walon ki
jis tarah haden mil jati hon do samt se do ujyalon ki
aawaza-e-haq jab lahra kar bhagTi ka tarana banta hai
ye rabt-e-baham ye jazb-e-darun KHud ek zamana banta hai
chishti ka qutub ka har nara yak-rangi mein Dhal jata hai
har dil pe kabir aur tulsi ke dohon ka fusun chal jata hai
nanak ka kabit ban jati hai mera ka bhajan ban jata hai
dil dil se jo hum aahang hue atwar mile andaz mile
ek aur zaban tamir hui alfaz se jab alfaz mile
ye fikr o bayan ki ranai duniya-e-adab ki jaan bani
ye 'mir' ka fan 'chakbast' ki lai 'ghaalib' ka amar diwan bani
tahzib ki is yak-jehti ko urdu ki shahadat kafi hai
kuchh aur nishan bhi milte hain thoDi si basirat kafi hai
tamir ke parde mein bhi kai be-laus fusun mil jate hain
ran-pur ke mandir mein hum ko masjid ke sutun mil jate hain
wahdat ki isi chingari se dil mom hua hai patthar ka
ajmer ki jama masjid mein KHud aks hai ajnabi mandar ka
phir aur zara ye fan baDh kar manind-e-ghazal ban jata hai
marmar ki ru-pahli chandi se ek taj-mahal ban jata hai
ye naqsh baham tahzibon ka maujud hai sau taswiron mein
'mansur' 'manohar' 'daulat' aur 'hashim' ki subuk tahriron mein
dil sath dhaDakte aae hain KHud saz pata de dete hain
tartib suron ki kaise hui KHud rag sada de dete hain
is waqt bhi jab ek mutrib ke honTon pe KHayal aa jata hai
sangat ki dewi ke ruKH par ek bar jamal aa jata hai
Thumri ki rasili tanon se naghmon ki ghaTaen aati hain
chhiDta hai sitar ab bhi jo kahin KHusraw ki sadaen aai hain
salme ki damak kuchh kahti hai raqqas ke rangin joDe mein
ek gunj nae andaz ki hai katthak ke dhamakte toDe mein
murli ki suhani sangat ko taus-o-rabab aa jate hain
champa ke mahakte pahlu mein KHush-rang gulab aa jate hain
zehnon ki tahon mein aaj bhi hai lahra wo hasin shahnai ka
akbar ke jawan kandhe pe saja jab Dola jodha-bai ka
har din se baDh kar wo rishta ulfat ki junun-samani ka
chehre se sarakta wo ghunghaT taron se hasin mastani ka
aapas ki ye baDhti yak-jihati ek moD pe jab ruk jati hai
insan ke aage insan ki ek bar nazar jhuk jati hai
ai arz-e-watan maghmum na ho phir pyar ke chashme phuTenge
ye nasl-o-nasab ke paimane ye zat ke darpan TuTenge
zehnon ki ghuTan miT jaegi insan mein tafakkur jagega
kal ek mukammal wahdat ka bebak tasawwur jagega
tamir nai wahdat hogi manawta ki buniyaadon par
ai arz-e-watan wishwas to kar ek bar hamare wadon par
is wahdat is yak-jihati ki tamir ka din hum laenge
sadiyon ke sunahre KHwabon ki tabir ka din hum laenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.