ittihadi
na ham haiñ ahl-e-siyāsat na ham fasādī haiñ
husain vaale haiñ ham log ittihādī haiñ
hasab nasab bhī hamārā alī se miltā hai
janāb-e-fātima-zahrā hamārī daadī haiñ
murād miltī hai bāb-ul-murād se yuuñ bhī
alī ke lāDle abbās ḳhud murādī haiñ
bas ek ḳhutba-e-zainab alī ke lahje meñ
yazīdiyat kī jaḌeñ duur tak hilā dī haiñ
janāb-e-hazrat-e-abbās kī qasam 'nashtar'
ḳhudā ke fazl se ham zabt ke bhī aadī haiñ
na hum hain ahl-e-siyasat na hum fasadi hain
husain wale hain hum log ittihadi hain
hasab nasab bhi hamara ali se milta hai
janab-e-fatima-zahra hamari dadi hain
murad milti hai bab-ul-murad se yun bhi
ali ke laDle abbas KHud muradi hain
bas ek KHutba-e-zainab ali ke lahje mein
yazidiyat ki jaDen dur tak hila di hain
janab-e-hazrat-e-abbas ki qasam 'nashtar'
KHuda ke fazl se hum zabt ke bhi aadi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.