izar-band
sulagne vaale nagar kī raushan saḌak pe koī
phaTā purānā libās pahne ye kah rahī thī
havas parasto! mire batn se gire janāze tumhāre chehre pe thūkte haiñ
ka.ī gul-e-nau-damīda apnī phaTī qabāoñ pe ro rahe haiñ
ḳhizāñ bahāroñ ko nochtī hai
tumhārā vahshī samāj kaise libās pahne
ki jis ne nange badan kā saudā kiyā huā hai
tumhārī āñkheñ darindagī se bharī huī haiñ
tumhārī shalvār gir rahī hai
to vahshiyo!
ye izār-band apne vāste lo
bahut hī achchhā
bahut hī sastā
ye tiis kā ik, pachās ke do, ye tiis kā ik, pachās ke do
tumhārī shalvār kā galā ye dabā.e rakhe
hamārī izzat bachā.e rakhe
ye tiis kā ik, pachās ke do
sulagne wale nagar ki raushan saDak pe koi
phaTa purana libas pahne ye kah rahi thi
hawas parasto! mere batn se gire janaze tumhaare chehre pe thukte hain
kai gul-e-nau-damida apni phaTi qabaon pe ro rahe hain
KHizan bahaaron ko nochti hai
tumhaara wahshi samaj kaise libas pahne
ki jis ne nange badan ka sauda kiya hua hai
tumhaari aankhen darindagi se bhari hui hain
tumhaari shalwar gir rahi hai
to wahshiyo!
ye izar-band apne waste lo
bahut hi achchha
bahut hi sasta
ye tis ka ik, pachas ke do, ye tis ka ik, pachas ke do
tumhaari shalwar ka gala ye dabae rakhe
hamari izzat bachae rakhe
ye tis ka ik, pachas ke do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.