izhaar-e-mohabbat ek pahaDi rasta hai
use bas ek hī zid hai
maiñ us kī zaat se mansūb
apne ḳhayāloñ kā koī paikar tarāshūñ
aur us ke sāmne rakh duuñ
use batlā.ūñ maiñ us se mujhe kitnī mohabbat hai
use kaise batā.ūñ maiñ
zamīñ se āsmāñ tak is muhīt-e-be-karāñ ko
apnī muTThī meñ jakaḌnā mere bas meñ hī nahīñ hai
mire sar par chamakte mehrbāñ sūraj kī kirnoñ kā
koī bhī goshvāra ban nahīñ saktā
zamīñ kī god meñ kitne samundar haiñ
kināroñ par namīda ret ke zarrāt haiñ
maiñ un ko adadī dastaras meñ kis tarah kar luuñ
bhalā maiñ lā-makāñ kī vus.atoñ ko
is makāñ meñ kis tarah lā.ūñ
jo qudrat ne hamesha an-kahā rakkhā
us ko kis tarah kah duuñ
ki titlī ko pakaḌ lene kā
ḳhushbū ko jakaḌ lene kā
fan mujh ko nahīñ aatā
use kaise batā.ūñ maiñ
ki iz.hār-e-mohabbat ik pahāḌī rāsta hai
aur choTī tak pahuñchne kā mujhe gur hī nahīñ aatā
use bas ek hi zid hai
main us ki zat se mansub
apne KHayalon ka koi paikar tarashun
aur us ke samne rakh dun
use batlaun main us se mujhe kitni mohabbat hai
use kaise bataun main
zamin se aasman tak is muhit-e-be-karan ko
apni muTThi mein jakaDna mere bas mein hi nahin hai
mere sar par chamakte mehrban suraj ki kirnon ka
koi bhi goshwara ban nahin sakta
zamin ki god mein kitne samundar hain
kinaron par namida ret ke zarraat hain
main un ko adadi dastaras mein kis tarah kar lun
bhala main la-makan ki wusaton ko
is makan mein kis tarah laun
jo qudrat ne hamesha an-kaha rakkha
us ko kis tarah kah dun
ki titli ko pakaD lene ka
KHushbu ko jakaD lene ka
fan mujh ko nahin aata
use kaise bataun main
ki izhaar-e-mohabbat ek pahaDi rasta hai
aur choTi tak pahunchne ka mujhe gur hi nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.