ek muddat huī apne jazbāt ko
maiñ ne qirtās par yuuñ utārā na thā
maiñ ne kholī kitāb aap kī
aur paḌhne ko baiThī to aisā huā
mere alfāz nazmoñ meñ Dhalne lage
aap mere taḳhayyul meñ shāyad kahīñ
jāguzīñ ik zamāne se the
mere dil meñ basī aarzū kī tarah
aap ke sab hī lafzoñ kī jādūgarī
lahza bhar meñ mirī ruuh meñ qalb meñ
yuuñ utarne lagī
mere dil ne kahā
be-ḳhabar
baat sun to mirī ġhaur se
kyā huā hai tujhe ye batā to sahī
aur maiñ
kisī but kī tarah
der tak haath meñ vo kitāb aap kī
le ke baiThī rahī
bhūrī āñkheñ mirī jaise pathrā ga.iiñ
ban ke patthar kā but dekhtī hī rahī
aur phir yuuñ huā
aap ke ḳhāl-o-ḳhad
jaise safhāt par yuuñ utar aa.e hoñ
mere chāroñ taraf nuqra.ī raushnī
raqs karne lagī
phir to mere ḳhayāloñ meñ jaan aa ga.ī
aur aisā lagā jis tarah aap ne
chhū liyā ho mujhe
garm haath apnā rakkhā mire haath par
merī āñkhoñ meñ ik raushnī jaise bharne lagī
aur maiñ aap ke bāzuoñ meñ panāh
DhūñDne lag ga.ī
aap ke lams se aap kī saañs se
mirī sochoñ meñ bhī
ik mahak sī utarne lagī
mirī palkoñ pe ḳhushiyoñ ke sau diip jalne lage
aur phir aap mere taḳhayyul meñ
bharne ko rang aa ga.e
roz-e-raushan kī mānind
ab ye yaqīñ ho chalā thā mujhe
aap mujh meñ sarāyat
is andāz se kar chuke haiñ
maiñ us vaqt anmol shai ho ga.ī thī
aur āḳhir 'duā'
is mohabbat ko maiñ
ik muqaddas sahīfa samajhte hue
aap ko chāhne lag ga.ī
ek muddat hui apne jazbaat ko
main ne qirtas par yun utara na tha
main ne kholi kitab aap ki
aur paDhne ko baiThi to aisa hua
mere alfaz nazmon mein Dhalne lage
aap mere taKHayyul mein shayad kahin
jaguzin ek zamane se the
mere dil mein basi aarzu ki tarah
aap ke sab hi lafzon ki jadugari
lahza bhar mein meri ruh mein qalb mein
yun utarne lagi
mere dil ne kaha
be-KHabar
baat sun to meri ghaur se
kya hua hai tujhe ye bata to sahi
aur main
kisi but ki tarah
der tak hath mein wo kitab aap ki
le ke baiThi rahi
bhuri aankhen meri jaise pathra gain
ban ke patthar ka but dekhti hi rahi
aur phir yun hua
aap ke KHal-o-KHad
jaise safhat par yun utar aae hon
mere chaaron taraf nuqrai raushni
raqs karne lagi
phir to mere KHayalon mein jaan aa gai
aur aisa laga jis tarah aap ne
chhu liya ho mujhe
garm hath apna rakkha mere hath par
meri aankhon mein ek raushni jaise bharne lagi
aur main aap ke bazuon mein panah
DhunDne lag gai
aap ke lams se aap ki sans se
meri sochon mein bhi
ek mahak si utarne lagi
meri palkon pe KHushiyon ke sau dip jalne lage
aur phir aap mere taKHayyul mein
bharne ko rang aa gae
roz-e-raushan ki manind
ab ye yaqin ho chala tha mujhe
aap mujh mein sarayat
is andaz se kar chuke hain
main us waqt anmol shai ho gai thi
aur aaKHir 'dua'
is mohabbat ko main
ek muqaddas sahifa samajhte hue
aap ko chahne lag gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.