iztirab
‘ālam-e-iztirāb meñ aksar
dekhtī huuñ idhar-udhar tujh ko
tū kahīñ bhī nazar nahīñ aatī
aur phir mujh pe kyā guzartī hai
ye kisī ko bhī kuchh nahīñ mā'lūm
ashk āñkhoñ se bahne lagte haiñ
dāstāñ ġham kī kahne lagte haiñ
maiñ sarāpā udaas rahtī huuñ
ḳhud se bhī nā-shanās rahtī huuñ
‘alam-e-iztirab mein aksar
dekhti hun idhar-udhar tujh ko
tu kahin bhi nazar nahin aati
aur phir mujh pe kya guzarti hai
ye kisi ko bhi kuchh nahin ma'lum
ashk aankhon se bahne lagte hain
dastan gham ki kahne lagte hain
main sarapa udas rahti hun
KHud se bhi na-shanas rahti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.