iztirab
jahāñ meñ iztirāb hai
nahīñ nahīñ
jahāñ hī iztirāb hai
hazār-hā kavākib-o-nujūm-hā-e-kahkashāñ se
atomoñ kī kokh tak
madār-dar-madār har vajūd be-qarār hai
ye mehr-o-māh o mushtarī se har electron tak
ye jhuum jhuum ghūmne meñ jis tarah kā raqs hai
mujhe samajh meñ aa gayā
jahān terā aks hai
vo aks jo jagah jagah qadam qadam rythm pe hai
jahān ain sur meñ hai jahān ain sum pe hai
jahāñ tarannumoñ kī list meñ se intiḳhāb hai
jo tujh hasīñ dimāġh ke hasīn lā-shu.ūr meñ banā ho
aisā ḳhvāb hai
jahān iztirāb hai
mujhe samajh meñ aa gayā hai ye jahāñ
ḳhalā makāñ zamāñ ke chand taar se banā huā sitār hai
use kaho kisī tarah sitār chheḌtī rahe
use kaho ki thoḌī der aur boltī rahe
jahan mein iztirab hai
nahin nahin
jahan hi iztirab hai
hazar-ha kawakib-o-nujum-ha-e-kahkashan se
atomon ki kokh tak
madar-dar-madar har wajud be-qarar hai
ye mehr-o-mah o mushtari se har electron tak
ye jhum jhum ghumne mein jis tarah ka raqs hai
mujhe samajh mein aa gaya
jahan tera aks hai
wo aks jo jagah jagah qadam qadam rythm pe hai
jahan ain sur mein hai jahan ain sum pe hai
jahan tarannumon ki list mein se intiKHab hai
jo tujh hasin dimagh ke hasin la-shuur mein bana ho
aisa KHwab hai
jahan iztirab hai
mujhe samajh mein aa gaya hai ye jahan
KHala makan zaman ke chand tar se bana hua sitar hai
use kaho kisi tarah sitar chheDti rahe
use kaho ki thoDi der aur bolti rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.