iztirab
kitnī hī soī dopahroñ meñ
kitnī hī jaltī rātoñ meñ
har ḳhvāb adhūrā
muḌ muḌ kar
jaane kyā DhūñDā kartā hai
kuchh bhīge pal
bojhal qadmoñ kī chaap liye
hairān pareshāñ
pūchhte haiñ
ye moḌ kahāñ tak jaatā hai
kuchh be-hañgam sī tasvīreñ
dhundlī dhundlī
be-Dol se kuchh lambe saa.e
vīrān humaktī tanhā.ī
ummīd ke raushan-dānoñ se
kyā manzar dekhā kartī hai
sannāTe ke is shor meñ bhī
mauhūm sī ek ummīd kabhī
karvaT karvaT ḳhud se pūchhe
āvāz abhī jo gūñjī thī
vo bāñg-e-jaras thī
yā koī
pāzeb kahīñ Takrā.ī hai
kitni hi soi dopahron mein
kitni hi jalti raaton mein
har KHwab adhura
muD muD kar
jaane kya DhunDa karta hai
kuchh bhige pal
bojhal qadmon ki chap liye
hairan pareshan
puchhte hain
ye moD kahan tak jata hai
kuchh be-hangam si taswiren
dhundli dhundli
be-Dol se kuchh lambe sae
viran humakti tanhai
ummid ke raushan-danon se
kya manzar dekha karti hai
sannaTe ke is shor mein bhi
mauhum si ek ummid kabhi
karwaT karwaT KHud se puchhe
aawaz abhi jo gunji thi
wo bang-e-jaras thi
ya koi
pazeb kahin Takrai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.